
Imamat
(Tu Ne Puchi Hai Imamat Ki Haqeeqat Mujh Se)
Zarb-e-Kaleem – Allama Iqbal Poetry
Tu Ne Puchi Hai Imamat Ki Haqeeqat Mujh Se
Haq Tujhe Meri Tarah Sahib-e-Asrar Kare
تو نے پوچھي ہے امامت کي حقيقت مجھ سے
حق تجھے ميري طرح صاحب اسرار کرے
Hai Wohi Tere Zamane Ka Imam-e-Barhaq
Jo Tujhe Hazir-o-Mojood Se Bezar Kare
ہے وہي تيرے زمانے کا امام برحق
جو تجھے حاضر و موجود سے بيزار کرے
Mout Ke Aaeene Mein Tujh Ko Dikha Kar Rukh-e-Dost
Zindagi Tere Liye Aur Bhi Dushwar Kare
موت کے آئنے ميں تجھ کو دکھا کر رخ دوست
زندگي تيرے ليے اور بھي دشوار کرے
De Ke Ehsas-e-Zayan Tera Lahoo Garma De
Faqr Ki Saan Charha Kar Tujhe Talwar Kare
دے کے احساس زياں تيرا لہو گرما دے
فقر کي سان چڑھا کر تجھے تلوار کرے
Fitna-e-Millat-e-Baiza Hai Imamat Uss Ki
Jo Musalman Ko Salateen Ka Prestar Kare!
فتنہ ملت بيضا ہے امامت اس کي
جو مسلماں کو سلاطيں کا پرستار کرے
Mard-e-Musalman – Har Lehza Hai Momin Ki Nayi Shan, Nayi Aan
Momin – Ho Halqa-e-Yaran To Baresham Ki Tarah Naram
Touheed – Zinda Quwwat Thi Jahan Mein Yehi Touheed Kabhi
Ilm-o-Ishq | Ilm Ne Mujh Se Kaha Ishq Hai Diwana-Pan