
In Sahme Hue Shehron Ki Faza Kuch Kehti Hai
Kabhi Tum Bhi Suno Yeh Dharti Kya Kuch Kehti Hai
Yeh Thathhri Hui Lambi Raatein Kuch Poochhti Hain
Yeh Khamoshi Awaaz Nama Kuch Kehti Hai
Sab Apne Gharon Mein Lambi Taan Ke Sote Hain
Aur Door Kahin Koel Ki Sada Kuch Kehti Hai
Jab Raat Ko Taare Bari Bari Jagte Hain
Kai Doobe Hue Taaron Ki Nida Kuch Kehti Hai
Kabhi Bhor Hue Kabhi Shaam Pare Kabhi Raat Gaye
Har Aan Badalti Rat Ki Hawa Kuch Kehti Hai
Mehmaan Hain Hum Mehmaan Sara Hai Yeh Nagri
Mehmaanon Ko Mehmaan Sara Kuch Kehti Hai
Bedaar Raho Bedaar Raho Bedaar Raho
Ae Hum Safar O Awaaz Dara Kuch Kehti Hai
Nasir Aashob Zamana Se Ghafil Na Raho
Kuch Hota Hai Jab Khalq Khuda Kuch Kehti Hai
ان سہمے ہوئے شہروں کی فضا کچھ کہتی ہے
کبھی تم بھی سنو یہ دھرتی کیا کچھ کہتی ہے
یہ ٹھٹھری ہوئی لمبی راتیں کچھ پوچھتی ہیں
یہ خاموشی آواز نما کچھ کہتی ہے
سب اپنے گھروں میں لمبی تان کے سوتے ہیں
اور دور کہیں کوئل کی صدا کچھ کہتی ہے
جب رات کو تارے باری باری جاگتے ہیں
کئی ڈوبے ہوئے تاروں کی ندا کچھ کہتی ہے
کبھی بھور بھئے کبھی شام پڑے کبھی رات گئے
ہر آن بدلتی رت کی ہوا کچھ کہتی ہے
مہمان ہیں ہم مہمان سرا ہے یہ نگری
مہمانوں کو مہمان سرا کچھ کہتی ہے
بیدار رہو بیدار رہو بیدار رہو
اے ہم سفرو آواز درا کچھ کہتی ہے
ناصرؔ آشوب زمانہ سے غافل نہ رہو
کچھ ہوتا ہے جب خلق خدا کچھ کہتی ہے
Ab Yeh Aalam Hai Ke Gham Ki Bhi Khabar Hoti Nahi – Urdu Ghazal
Tujh Se Naraz Nahin Zindagi, Hairan Hoon Main (Lyrics)
Dil Tha Ke Khush Khayaal Tujhe Dekh Kar Hua – Noshi Gilani




