
Is Se Pehle Ke Guzar Jaayein Ye Lamhaat-e-Nishat
Is Se Pehle Ke Ye Kaliyan Bhi Fasurda Ho Jaayein
Is Se Pehle Ke Badal Jaaye Mizaj-e-Ehsaas
Is Se Pehle Ke Ye Haalaat Bhi Murda Ho Jaayein
Is Se Pehle Ke Badal Jaaye Nazar Ka Andaaz
Is Se Pehle Ke Nazaron Ko Nazar Lag Jaaye
Is Se Pehle Ke Libaas-e-Shab-e-Khamosh Ho Chaak
Is Se Pehle Ke Sitaaron Ko Nazar Lag Jaaye
Jazba-e-Shoq Ko Izhaar Pe Aamda Karo
Lab-e-Khamosh Ko Guftaar Pe Aamda Karo
اس سے پہلے کہ گُزر جائیں یہ لمحاتِ نشاط
اس سے پہلے کہ یہ کلیاں بھی فسردہ ہو جائیں
اس سے پہلے کہ بدل جائے مزاجِ احساس
اس سے پہلے کہ یہ حالات بھی مُردہ ہو جائیں
اس سے پہلے کہ بدل جائے نظر کا انداز
اس سے پہلے کہ نظاروں کو نظر لگ جائے
اس سے پہلے کہ لباسِ شبِ خاموش ہو چاک
اس سے پہلے کہ ستاروں کو نظر لگ جائے
جزبۂ شوق کو اظہار پہ آمادہ کرو
لبِ خاموش کو گُفتار پہ آمادہ کرو
Kaisa Dil Aur Is Ke Kya Gham Ji – Jaun Elia Poetry
Manzilen Laakh Kathin Aayeen Guzar Jaoon Ga – Urdu Ghazal
Kaam Sab Gair Zaruri Hain Jo Sab Karte Hain – Rahat Indori