Faiz Ahmad Faiz

Is Waqt To Yun Lagta Hai Ab Kuch Bhi Nahi Hai – Faiz

اس وقت تو یوں لگتا ہے اب کچھ بھی نہیں ہے - فیض احمد فیض

Is Waqt To Yun Lagta Hai Ab Kuch Bhi Nahi Hai
Faiz Ahmad Faiz

Is Waqt To Yun Lagta Hai Ab Kuch Bhi Nahi Hai
Mehtab Na Suraj, Na Andhera Na Sawera

Aankhon Ke Darichon Pe Kisi Husn Ki Chulman
Aur Dil Ki Panahoon Mein Kisi Dard Ka Dera

Mumkin Hai Koi Waham Tha, Mumkin Hai Suna Ho
Galiyon Mein Kisi Chaap Ka Ek Aakhri Phera

Shaakhon Mein Khayalon Ke Ghane Ped Ki Shayad
Ab Aa Ke Karega Na Koi Khwab Basera

Ek Bair, Na Ek Mehr, Na Ek Rabt Na Rishta
Tera Koi Apna, Na Paraya Koi Mera

Mana Ke Yeh Sunsaan Ghari Sakht Kadi Hai
Lekin Mere Dil Yeh To Faqat Ek Hi Ghari Hai

Himmat Karo Jeene Ko To Ek Umr Padi Hai

اس وقت تو یوں لگتا ہے اب کچھ بھی نہیں ہے
مہتاب نہ سورج، نہ اندھیرا نہ سویرا

آنکھوں کے دریچوں پہ کسی حسن کی چلمن
اور دل کی پناہوں میں کسی درد کا ڈیرا

ممکن ہے کوئی وہم تھا، ممکن ہے سنا ہو
گلیوں میں کسی چاپ کا اک آخری پھیرا

شاخوں میں خیالوں کے گھنے پیڑ کی شاید
اب آ کے کرے گا نہ کوئی خواب بسیرا

اک بَیر، نہ اک مہر، نہ اک ربط نہ رشتہ
تیرا کوئی اپنا، نہ پرایا کوئی میرا

مانا کہ یہ سنسان گھڑی سخت کڑی ہے
لیکن مرے دل یہ تو فقط اک ہی گھڑی ہے

ہمت کرو جینے کو تو اک عمر پڑی ہے

 

Ghazal – Baatein To Kuch Aisi Hain Ke Khud Se Bhi Na Ki Jaayein
Dil Ko Mita Ke Daagh-e-Tamanna Diya Mujhe – Jigar Muradabadi
Sabab Woh Pooch Rahe Hain Udaas Hone Ka – Rahat Indori

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *