
Ishq Karo To Yeh Bhi Socho, Arz-e-Sawaal Se Pehle – Noshi Gilani
عشق کرو تو یہ بھی سوچو عرض سوال سے پہلے
ہجر کی پوری رات آتی ہے صبح وصال سے پہلے
دل کا کیا ہے دل نے کتنے منظر دیکھے لیکن
آنکھیں پاگل ہو جاتی ہیں ایک خیال سے پہلے
کس نے ریت اڑائی شب میں آنکھیں کھول کے رکھیں
کوئی مثال تو ہونا اس کی مثال سے پہلے
کار محبت ایک سفر ہے اس میں آ جاتا ہے
ایک زوال آثار سا رستہ باب کمال سے پہلے
عشق میں ریشم جیسے وعدوں اور خوابوں کا رستہ
جتنا ممکن ہو طے کر لیں گرد ملال سے پہلے
نوشی گیلانی
Ishq Karo To Yeh Bhi Socho, Arz-e-Sawaal Se Pehle
Hijr Ki Poori Raat Aati Hai, Subh-e-Wisaal Se Pehle
Dil Ka Kya Hai, Dil Ne Kitne Manzar Dekhe Lekin
Aankhein Paagal Ho Jaati Hain, Ek Khayaal Se Pehle
Kis Ne Rait Udaati Shab Mein, Aankhein Khol Ke Rakheen
Koi Ek Misaal To Do, Meri Misaal Se Pehle
Kaar-e-Mohabbat Ek Safar Hai, Is Mein Aa Jaata Hai Ek
Zawaal Aasaar Sa Rasta, Baab-e-Kamaal Se Pehle
Ishq Mein Resham Jaise Waadon Aur Khwabon Ka Rasta
Jitna Mumkin Ho Tai Kar Lo, Gard-o-Malaal Se Pehle
Nisaar Main Teri Galiyon Ke Ae Watan – Faiz Ahmed Faiz
Idhar Bhi Dekh Kabhi Apne Ghar Mein Baithe Hue – Adeem Hashmi