Faiz Ahmad Faiz

Itna Qareeb Aao Ke Jee Bhar Ke Dekh Lein – Faiz

Itna Qareeb Aao Ke Jee Bhar Ke Dekh Lein
Faiz Ahmad Faiz Poetry

Itna Qareeb Aao Ke Jee Bhar Ke Dekh Lein
Shayad Ke Phir Milo To Yeh Zauq-e-Nazar Na Ho

Yoon Utro Mere Dil Mein Aankhon Ke Raaste
Mujh Mein Sama Jao Nazar Ko Khabar Na Ho

Muddat Hui Mile Nahi Ek Doosre Se Hum
Aaj Sab Gile Mita Do Koi Shikwa Phir Na Ho

Mere Saamne Baithay Raho Main Dekhta Rahoon
Ruk Jaye Waqt Kaash Tulu-e-Sehar Na Ho

Kar Lo Mujh Se Waada Mere Ho Bas Mere
Jab Saath Mera Do To Zamaane Ka Dar Na Ho

Aaye Ho Ab Ke Jo Tum To Ek Shab Qayam Kar Lo
Shayad Ke Phir Guzar Ho To Mera Ghar Na Ho

Mumkin Hai Tarteeb-e-Waqt Mein Aisa Bhi Lamha Aaye
Dastak Ko Tera Haath Uthe Aur Mera Dar Na Ho

اتنا قریب آؤ کہ جی بهر کے دیکھ لیں
شاید کہ پهر ملو تو یہ ذوق نظر نہ ہو

یوں اترو میرے دل میں آنکهوں کے راستے
مجھ میں سما جاؤ نظر کو خبر نہ ہو

مدت ہوئی ملے نہیں اک دوسرے سے ہم
آج سب گلے مٹا دو کوئی شکوہ پهر نہ ہو

میرے سامنے بیٹهے رہو میں دیکهتا رہوں
رک جائے وقت کاش طلوعِ سحر نہ ہو

کرلو مجھ سے وعدہ میرے ہو بس میرے
جب ساتھ میرا دو تو زمانے کا ڈر نہ ہو

آئے ہو اب کہ جو تم تو اک شب قیام کر لو
شاید کہ پھر گزر ہو تو میرا گھر نہ ہو

ممکن ہے ترتیبِ وقت میں ایسا بھی لمحہ آئے
دستک کو تیرا ہاتھ اٹھے اور میرا در نہ ہو!

فیض احمد فیض

 

Ab Yeh Aalam Hai Ke Gham Ki Bhi Khabar Hoti Nahi – Urdu Ghazal
Kaise Keh Doon Ke Mulaqat Nahi Hoti Hai – Shakeel Badayuni
Kirchiyan Chunta Hoon To Hairani Bohat Hoti Hai – Urdu Poetry

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *