Jaun Elia

Jaane Kahan Gaya Woh, Woh Jo Abhi Yahan Tha? – Jaun Elia

Jaane Kahan Gaya Woh, Woh Jo Abhi Yahan Tha?

Jaun Elia Shayari

 

Jaane Kahan Gaya Woh, Woh Jo Abhi Yahan Tha?
Woh Jo Abhi Yahan Tha, Woh Kaun Tha, Kahan Tha?

Ta Lamha Guzashta Yeh Jism Aur Bahaar Aaye
Zinda Thay Raigan Mein, Jo Kuch Tha Raigan Tha

Ab Jis Ki Deed Ka Hai Sauda Hamare Sar Mein
Woh Apni Hi Nazar Mein Apna Hi Ek Samaan Tha

Kya Kya Na Khoon Thooka Main Us Gali Mein Yaaro
Sach Janna Wahan To Jo Fun Tha Raigan Tha

Yeh Vaar Kar Gaya Hai Pehlu Se Kaun Mujh Par?
Tha Main Hi Daayen Baayen Aur Main Hi Darmiyan Tha

Is Sheher Ki Hifazat Karni Thi Jo Hum Ko Jis Mein
Aandhi Ki Thin Faslein Aur Gard Ka Makaan Tha

Thi Ek Ajab Fiza Si Imkaan-e-Khaal-o-Khud Ki
Tha Ek Ajab Musavvir Aur Woh Mera Gumaan Tha

Umrain Guzar Gayi Thin Hum Ko Yaqeen Se Bichhde
Aur Lamha Ek Gumaan Ka, Sadiyon Mein Be-Amaan Tha

Main Doobta Chala Gaya Tareekiyon Ke Teh Mein
Teh Mein Tha Ek Daricha Aur Us Mein Aasmaan Tha

 

جانے کہاں گیا وہ، وہ جو ابھی یہاں تھا؟
وہ جو ابھی یہاں تھا، وہ کون تھا، کہاں تھا؟

تا لمحہ گزشتہ یہ جسم اور بہار آئے
زندہ تھے رائیگاں میں، جو کچھ تھا رائیگاں تھا

اب جس کی دید کا ہے سودا ہمارے سر میں
وہ اپنی ہی نظر میں اپنا ہی اک سماں تھا

کیا کیا نہ خون تھوکا میں اس گلی میں یارو
سچ جاننا وہاں تو جو فن تھا رائیگاں تھا

یہ وار کر گیا ہے پہلو سے کون مجھ پر؟
تھا میں ہی دائیں بائیں اور میں ہی درمیاں تھا

اس شہر کی حفاظت کرنی تھی جو ہم کو جس میں
آندھی کی تھیں فصلیں اور گرد کا مکاں تھا

تھی اک عجب فضا سی امکانِ خال و خد کی
تھا اک عجب مصور اور وہ مرا گماں تھا

عمریں گزر گئیں تھیں ہم کو یقیں سے بچھڑے
اور لمحہ اک گماں کا، صدیوں میں بے اماں تھا

میں ڈوبتا چلا گیا تاریکیوں کہ تہہ میں
تہہ میں تھا اک دریچہ اور اس میں آسماں تھا​

 

 

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *