
Jab Gulstaan Mein Baharon Ke Qadam Aate Hain
Poet: Saghar Siddiqui
جب گلستاں میں بہاروں کے قدم آتے ہیں
یاد بھولے ہوئے یاروں کے کرم آتے ہیں
لوگ جس بزم سے آتے ہیں ستارے لے کر
ہم اسی بزم سے بادیدہء نم آتے ہیں
میں وہ اک رند خرابات ہوں میخانے میں
میرے سجدے کے لئے ساغرِ جم آتے ہیں
اب ملاقات میں وہ گرمیِ جذبات کہاں
اب تو رکھنے وہ محبت کا بھرم آتے ہیں
قربِ ساقی کی وضاحت تو بڑی مشکل ہے
ایسے لمحے تھے جو تقدیر سے کم آتے ہیں
میں بھی جنت سے نکالا ہوا اک بت ہی تو ہوں
ذوقِ تخلیق تجھے کیسے ستم آتے ہیں
چشمِ ساغرؔ ہے عبادت کے تصور میں سدا
دل کے کعبے میں خیالوں کے صنم آتے ہیں
Jab Gulstaan Mein Baharon Ke Qadam Aate Hain
Yaad Bhoolay Hue Yaaron Ke Karam Aate Hain
Log Jis Bazm Se Aate Hain Sitare Le Kar
Hum Isi Bazm Se Badida-e-Nam Aate Hain
Main Woh Ek Rind Kharabat Hoon Mikhane Mein
Mere Sajde Ke Liye Saaghar-e-Jam Aate Hain
Ab Mulaqat Mein Woh Garmi-e-Jazbaat Kahan
Ab To Rakhne Woh Mohabbat Ka Bahram Aate Hain
Qurb-e-Saqi Ki Wazahat To Badi Mushkil Hai
Aise Lamhe The Jo Taqdeer Se Kam Aate Hain
Main Bhi Jannat Se Nikala Hua Ek But Hi To Hoon
Zauq-e-Takhleeq Tujhe Kaise Sitam Aate Hain
Chashm-e-Saaghar Hai Ibadat Ke Tasawwur Mein Sada
Dil Ke Kaabe Mein Khayalon Ke Sanam Aate Hain




