
Jala Diya Shajar Jaan Ke Sabz Bakht Na Tha
Parveen Shakir
Jala Diya Shajar Jaan Ke Sabz Bakht Na Tha
Kisi Bhi Rat Mein Hara Ho Yeh Woh Darakht Na Tha
Woh Khawab Dekha Tha Shehzadiyon Ne Pichlay Pahar
Phir Us Ke Baad Muqaddar Mein Taj O Takht Na Tha
Zara Se Jabr Se Main Bhi To Toot Sakti Thi
Meri Tarah Se Tabiyat Ka Woh Bhi Sakht Na Tha
Mere Liye To Woh Khanjar Bhi Phool Ban Ke Utha
Zuban Sakht Thi Lehja Kabhi Karkhat Na Tha
Andheri Raaton Ke Tanha Musafiron Ke Liye
Diya Jalata Hua Koi Saaz O Rakht Na Tha
Gaye Woh Din Ke Mujh Tak Tha Mera Dukh Mahdood
Khabar Ke Jaisa Yeh Afsana Lakht Lakht Na Tha
جلا دیا شجر جاں کہ سبز بخت نہ تھا
کسی بھی رت میں ہرا ہو یہ وہ درخت نہ تھا
وہ خواب دیکھا تھا شہزادیوں نے پچھلے پہر
پھر اس کے بعد مقدر میں تاج و تخت نہ تھا
ذرا سے جبر سے میں بھی تو ٹوٹ سکتی تھی
مری طرح سے طبیعت کا وہ بھی سخت نہ تھا
مرے لیے تو وہ خنجر بھی پھول بن کے اٹھا
زبان سخت تھی لہجہ کبھی کرخت نہ تھا
اندھیری راتوں کے تنہا مسافروں کے لیے
دیا جلاتا ہوا کوئی ساز و رخت نہ تھا
گئے وہ دن کہ مجھی تک تھا میرا دکھ محدود
خبر کے جیسا یہ افسانہ لخت لخت نہ تھا
Phir Koi Aaya Dil-E-Zaar Nahi Koi Nahi – Faiz Ahmad Faiz
Uzr Aanay Mein Bhi Hai Aur Bulate Bhi Nahin – Dagh Dehlvi
Ye Jugnuon Ki Qiyadat Mein Chalne Wale Log – Urdu Shayari




