
Best of Jaun Elia Shayari
Jaun Elia is one of the most popular and influential Urdu poets of modern times. Known for his deep, soulful, and often heartbreaking ghazals, Jaun Elia Shayari speaks to the heart. His words beautifully capture feelings of love, loss, sadness, and the struggle of human existence.
People love Jaun Elia’s ghazals because they are relatable and full of raw emotions. His unique style and honest expressions make his poetry timeless. Whether you are looking for thought-provoking verses or poetic lines to express your emotions, Jaun Elia’s ghazal collection offers something for everyone.
In this collection, we will explore some of the best Jaun Elia ghazals that continue to touch hearts even today.
Hera is a collection of Jaun Elia Shayari
Koi Haalat Nahi Yeh Halat Hai
Koi Haalat Nahi Yeh Haalat Hai
Yeh To Ashoob Naak Soorat Hai
Anjuman Mein Yeh Meri Khamoshi
Bardbaari Nahi Hai Wahshat Hai
Tujh Se Yeh Gaah Gaah Ka Shikwa
Jab Talak Hai Basa Ghanimat Hai
Khawahishen Dil Ka Saath Chhod Gayi
Yeh Azayat Bari Azayat Hai
Log Masroof Jante Hain Mujhe
Yahaan Mera Gham Hi Meri Fursat Hai
Tanz Piraaya-e-Tabasum Mein
Is Takalluf Ki Kya Zaroorat Hai
Hum Ne Dekha To Hum Ne Yeh Dekha
Jo Nahi Hai Woh Khoobsurat Hai
Waar Karne Ko Jaan Nisaaar Aayein
Yeh To Isaaar Hai Inayat Hai
Garm Joshi Aur Is Qadar Kya Baat
Kya Tumhein Mujh Se Kuch Shikayat Hai
Ab Nikal Aao Apne Andar Se
Ghar Mein Samaaan Ki Zaroorat Hai
Aaj Ka Din Bhi Aish Se Guzra
Sar Se Pa Tak Badan Salaamat Hai
Ek Hunar Hai Jo Kar Gaya Hun Main
Ek Hunar Hai Jo Kar Gaya Hun Main
Sab Ke Dil Se Utar Gaya Hun Main
Kaise Apni Hansi Ko Zabt Karun
Sun Raha Hun Ki Ghar Gaya Hun Main
Kya Bataun Ki Mar Nahin Pata
Jite-Ji Jab Se Mar Gaya Hun Main
Ab Hai Bas Apna Samna Dar-Pesh
Har Kisi Se Guzar Gaya Hun Main
Wahi Naz-O-Ada Wahi Ghamze
Sar-Ba-Sar Aap Par Gaya Hun Main
Ajab Ilzam Hun Zamane Ka
Ki Yahan Sab Ke Sar Gaya Hun Main
Kabhi Khud Tak Pahunch Nahin Paya
Jab Ki Wan Umr Bhar Gaya Hun Main
Tum Se Jaanan Mila Hun Jis Din Se
Be-Tarah Khud Se Dar Gaya Hun Main
Ku-E-Jaanan Mein Sog Barpa Hai
Ki Achanak Sudhar Gaya Hun Main
Thik Hai Khud Ko Hum Badalte Hain
Thik Hai Khud Ko Hum Badalte Hain
Shukriya Mashwarat Ka Chalte Hain
Ho Raha Hun Main Kis Tarah Barbaad
Dekhne Wale Hath Malte Hain
Hai Wo Jaan Ab Har Ek Mahfil Ki
Hum Bhi Ab Ghar Se Kam Nikalte Hain
Kya Takalluf Karen Ye Kehne Mein
Jo Bhi Khush Hai Hum Us Se Jalte Hain
Hai Use Dur Ka Safar Dar-Pesh
Hum Sambhaale Nahin Sambhalte Hain
Tum Bano Rang Tum Bano Khushbu
Hum To Apne Sukhan Mein Dhalte Hain
Main Usi Tarah To Bahalta Hun
Aur Sab Jis Tarah Bahalte Hain
Hai Ajab Faisle Ka Sahra Bhi
Chal Na Padiye To Panw Jalte Hain
Sina Dahak Raha Ho To Kya Chup Rahe Koi
Sina Dahak Raha Ho To Kya Chup Rahe Koi
Kyun Chikh Chikh Kar Na Gala Chhil Le Koi
Sabit Hua Sukun-E-Dil-O-Jaan Kahin Nahin
Rishton Mein Dhundta Hai To Dhunda Kare Koi
Tark-E-Talluqat Koi Masala Nahin
Ye To Wo Rasta Hai Ki Bas Chal Pade Koi
Diwar Jaanta Tha Jise Main Wo Dhul Thi
Ab Mujh Ko E’timad Ki Dawat Na De Koi
Main Khud Ye Chahta Hun Ki Haalat Hon Kharab
Mere Khilaf Zahr Ugalta Phire Koi
Ai Shakhs Ab To Mujh Ko Sabhi Kuchh Qubul Hai
Ye Bhi Qubul Hai Ki Tujhe Chhin Le Koi
Han Thik Hai Main Apni Ana Ka Mariz Hun
Aakhir Mere Mizaj Mein Kyun Dakhil De Koi
Ek Shakhs Kar Raha Hai Abhi Tak Wafa Ka Zikr
Kash Us Zaban-Daraaz Ka Munh Noch Le Koi
Gahe Gahe Bas Ab Yahi Ho Kya
Gahe Gahe Bas Ab Yahi Ho Kya
Tum Se Mil Kar Bahut KHushi Ho Kya
Mil Rahi Ho BaDe Tapak Ke Sath
Mujh Ko Yaksar Bhula Chuki Ho Kya
Yaad Hain Ab Bhi Apne KHwab Tumhein
Mujh Se Mil Kar Udas Bhi Ho Kya
Bas Mujhe Yunhi Ek KHayal Aaya
Sochti Ho To Sochti Ho Kya
Ab Meri Koi Zindagi Hi Nahin
Ab Bhi Tum Meri Zindagi Ho Kya
Kya Kaha Ishq Jawedani Hai!
AaKHiri Bar Mil Rahi Ho Kya
Han Faza Yan Ki Soi Soi Si Hai
To Bahut Tez Raushni Ho Kya
Mere Sab Tanz Be-Asar Hi Rahe
Tum Bahut Dur Ja Chuki Ho Kya
Dil Mein Ab Soz-E-Intizar Nahin
Sham-E-Ummid Bujh Gai Ho Kya
Is Samundar Pe Tishna-Kaam Hun Main
Ban Tum Ab Bhi Bah Rahi Ho Kya
Na Hum Rahe Na Wo Khwabon Ki Zindagi Hi Rahi
Na Hum Rahe Na Wo Khwabon Ki Zindagi Hi Rahi
Guman Guman Si Mahak Khud Ko Dhundhti Hi Rahi
Ajab Tarah Rukh-E-Aindagi Ka Rang Uda
Dayar-E-Zat Mein Az-Khud Guzashtagi Hi Rahi
Harim-E-Shauq Ka Aalam Bataen Kya Tum Ko
Harim-E-Shauq Mein Bas Shauq Ki Kami Hi Rahi
Pas-E-Nigah-E-Taghaful Thi Ek Nigah Ki Thi
Jo Dil Ke Chehara-E-Hasrat Ki Tazgi Hi Rahi
Ajib Aaina-E-Partaw-E-Tamanna Tha
Thi Us Mein Ek Udasi Ki Jo Saji Hi Rahi
Badal Gaya Sabhi Kuchh Us Dayar-E-Budash Mein
Gali Thi Jo Teri Jaan Wo Teri Gali Hi Rahi
Tamam Dil Ke Mohalle Ujad Chuke The Magar
Bahut Dinon To Hansi Hi Rahi Khushi Hi Rahi
Wo Dastan Tumhein Ab Bhi Yaad Hai Ki Nahin
Jo Khun Thukne Walon Ki Be-Hisi Hi Rahi
Sunaun Main Kise Afsana-E-Khyal-E-Malal
Teri Kami Hi Rahi Aur Meri Kami Hi Rahi