Qateel Shifai

Jawani Ke Naghme Hawaon Ne Gaye – Qateel Shifai Poetry

Jawani Ke Naghme Hawaon Ne Gaye

Qateel Shifai Poetry

 

Jawani Ke Naghme Hawaon Ne Gaye Magar Tum Na Aaye
Mahakne Lage Meri Zulfon Ke Saye Magar Tum Na Aaye

Sunun Apni Sanson Mein AahaT Tumhaari
Kahan Ja Chhupi MuskurahaT Tumhaari

KhaDi Hun Main Palkon Ki Chilman UThaye
Magar Tum Na Aaye

Har Ek Tis Dil Ki Sada Ban Gai Hai
Nazar Haar Kar Iltija Ban Gai Hai

Umidon Ke Lakhon Diye Jhilmilaye
Magar Tum Na Aaye

Kabhi Le Liya Sham-E-Gham Ka Sahaara
Kabhi Ro Diye Nam Le Kar Tumhaara

Kabhi Hum Ne Rahon Mein Sajde Bichhaye
Magar Tum Na Aaye

جوانی کے نغمے ہواؤں نے گائے مگر تم نہ آئے
مہکنے لگے میری زلفوں کے سائے مگر تم نہ آئے

سنوں اپنی سانسوں میں آہٹ تمہاری
کہاں جا چھپی مسکراہٹ تمہاری

کھڑی ہوں میں پلکوں کی چلمن اٹھائے
مگر تم نہ آئے

ہر اک ٹیس دل کی صدا بن گئی ہے
نظر ہار کر التجا بن گئی ہے

امیدوں کے لاکھوں دئے جھلملائے
مگر تم نہ آئے

کبھی لے لیا شام غم کا سہارا
کبھی رو دئے نام لے کر تمہارا

کبھی ہم نے راہوں میں سجدے بچھائے
مگر تم نہ آئے

 

Read More:

Mirza Ghalib Poetry – Rahat Indori Poetry – Jaun Elia Poetry – Bashir Badr Poetry

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *