
Kabhi Kabhi Yaad Mein Ubharte Hain
Kabhi Kabhi Yaad Mein Ubharte Hain Naqsh-e-Maazi Mite Mite Se
Woh Aazmaish Dil-o-Nazar Ki, Woh Qurbatein Si, Woh Faasle Se
Kabhi Kabhi Aarzu Ke Sehra Mein Aa Ke Rukte Hain Qaafle Se
Woh Saari Baatein Lagaao Ki Si, Woh Saare Unwaan-e-Wisaal Ke Se
Nigaah-o-Dil Ko Qaraar Kaisa, Nashaad-o-Gham Mein Kami Kahaan Ki
Woh Jab Mile Hain To Un Se Har Baar Ki Hai Ulfat Naye Sare Se
Bohat Garaan Hai Yeh Aish-e-Tanha, Kahin Subuk Tar Kahin Gawaara
Woh Dard-e-Pinhaan Ke Saari Duniya Rafeeq Thi Jis Ke Waaste Se
Tumhein Kaho Rind-o-Muhtasib Mein Hai Aaj Shab Kaun Farq Aisa
Yeh Aa Ke Baithay Hain Maikade Mein, Woh Uth Ke Aaye Hain Maikade Se
Faiz Ahmad Faiz Ghazal in Urdu
کبھی کبھی یاد میں ابھرتے ہیں نقش ماضی مٹے مٹے سے
وہ آزمائش دل و نظر کی وہ قربتیں سی وہ فاصلے سے
کبھی کبھی آرزو کے صحرا میں آ کے رکتے ہیں قافلے سے
وہ ساری باتیں لگاؤ کی سی وہ سارے عنواں وصال کے سے
نگاہ و دل کو قرار کیسا نشاط و غم میں کمی کہاں کی
وہ جب ملے ہیں تو ان سے ہر بار کی ہے الفت نئے سرے سے
بہت گراں ہے یہ عیش تنہا کہیں سبک تر کہیں گوارا
وہ درد پنہاں کہ ساری دنیا رفیق تھی جس کے واسطے سے
تمہیں کہو رند و محتسب میں ہے آج شب کون فرق ایسا
یہ آ کے بیٹھے ہیں میکدے میں وہ اٹھ کے آئے ہیں میکدے سے