Ahmad Faraz

Kahaniyan Na Suno Aas Paas Logon Ki – Ahmad Faraz

Kahaniyan Na Suno Aas Paas Logon Ki

Ahmad Faraz Poetry in Urdu

 

Kahaniyan Na Suno Aas Paas Logon Ki
Ke Mera Shehar Hai Basti Udaas Logon Ki

Na Koi Simt Na Manzil So Qaafila Kaisa
Rawa Hai Bheer Faqat Be Qiyas Logon Ki

Kisi Se Pooch Hi Lete Wafaa Ke Baab Mein Hum
Kami Nahi Thi Zamaana Shinas Logon Ki

Mohabbatoun Ka Safar Khatm To Nahi Hota
Baja Ke Dosti Aayi Na Raas Logon Ki

Humein Bhi Apne Kai Dost Yaad Aate Hain
Kabhi Jo Baat Chale Naaspaas Logon Ki

Karo Na Apni Bila Noshiyon Ke Yun Charche
Ke Is Se Aur Bhi Barhti Hai Pyaas Logon Ki

Main Aane Wale Zamanon Se Dar Raha Hoon, Faraz
Ke Main Ne Dekhi Hain Aankhein Udaas Logon Ki

 

کہانیاں نہ سنو آس پاس لوگوں کی
کہ میرا شہر ھے بستی اداس لوگوں کی

نہ کوئی سمت نہ منزل سو قافلہ کیسا
رواں ھے بھیڑ فقط بے قیاس لوگوں کی

کسی سے پوچھ ہی لیتے وفا کے باب میں ہم
کمی نہیں تھی زمانہ شناس لوگوں کی

محبتوں کا سفر ختم تو نہیں ہوتا
بجا کہ دوستی آئی نہ راس لوگوں کی

ہمیں بھی اپنے کئی دوست یاد آتے ہیں
کبھی جو بات چلے ناسپاس لوگوں کی

کرو نہ اپنی بلا نوشیوں کے یوں چرچے
کہ اس سے اور بھی بڑھتی ھے پیاس لوگوں کی

میں آنے والے زمانوں سے ڈر رہا ہوں فراز
کہ میں نے دیکھی ہیں آنکھیں اداس لوگوں کی

احمد فراز

Yunhi Umeed Dilaate Hain Zamaane Wale – Urdu Poetry
Ye Jugnuon Ki Qiyadat Mein Chalne Wale Log – Urdu Shayari
Aa Gayi Yaad Shaam Dhalte Hi – Lyrics [Munir Niazi Poetry]

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *