Rahat Indori

Kahin Akele Mein Mil Kar Jhanjhod Doon Ga Use – Rahat Indori

Kahin Akele Mein Mil Kar Jhanjhod Doon Ga Use

Rahat Indori Poetry

 

Kahin Akele Mein Mil Kar Jhanjhod Doon Ga Use
Jahan Jahan Se Woh Toota Hai Jod Doon Ga Use

Mujhe Woh Chhod Gaya Ye Kamal Hai Is Ka
Irada Maine Kiya Tha Ke Chhod Doon Ga Use

Badan Chura Ke Woh Chalta Hai Mujh Se Sheesha Badan
Use Ye Dar Hai Ke Main Tod Phod Doon Ga Use

Pasine Bantta Phirta Hai Har Taraf Sooraj
Kabhi Jo Haath Laga To Nachod Doon Ga Use

Mazah Chakh Kar Hi Maana Hun Main Bhi Duniya Ko
Samajh Rahi Thi Ke Aise Hi Chhod Doon Ga Use

کہیں اکیلے میں مل کر جھنجھوڑ دوں گا اسے
جہاں جہاں سے وہ ٹوٹا ہے جوڑ دوں گا اسے

مجھے وہ چھوڑ گیا یہ کمال ہے اس کا
ارادہ میں نے کیا تھا کہ چھوڑ دوں گا اسے

بدن چرا کے وہ چلتا ہے مجھ سے شیشہ بدن
اسے یہ ڈر ہے کہ میں توڑ پھوڑ دوں گا اسے

پسینے بانٹتا پھرتا ہے ہر طرف سورج
کبھی جو ہاتھ لگا تو نچوڑ دوں گا اسے

مزہ چکھا کے ہی مانا ہوں میں بھی دنیا کو
سمجھ رہی تھی کہ ایسے ہی چھوڑ دوں گا اسے

 

Ajnabi Khwahishein Seene Mein Daba Bhi Na Sakoon – Rahat
Hum Hi Mein Thi Na Koi Baat, Yaad Na Tum Ko Aa Sake – Hafeez Jalandhari
Tumhare Shehar Ka Mausam Bara Suhana Lage – Lyrics
Mehfilain Lut Gain Jazbaat Ne Dam Tor Diya – Saghar Siddiqi

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *