Akbar Allahabadi

Kahoon Kis Se Qissa-e-Dard-o-Gham – Akbar Allahabadi

کہوں کس سے قصۂ درد و غم کوئی ہمنشین ہے نہ یار ہے ۔ اکبر الٰہ آبادی

Kahoon Kis Se Qissa-e-Dard-o-Gham
Poet:Akbar Allahabadi

Kahoon Kis Se Qissa-e-Dard-o-Gham, Koi Hamnasheen Hai Na Yaar Hai
Jo Anees Hai Teri Yaad Hai, Jo Shafeeq Hai Dil-e-Zaar Hai

Tu Hazaar Karta Lagawatein, Main Kabhi Na Aata Fareb Mein
Mujhe Pehle Uss Ki Khabar Na Thi, Tera Do Hi Din Ka Yeh Pyaar Hai

Yeh Naveed Auron Ko Ja Suna, Hum Aseer-e-Daam Hain Ae Saba
Humein Kya Chaman Hai Jo Rang Par, Humein Kya Jo Fasl-e-Bahaar Hai

Woh Nazar Jo Mujh Se Mila Gaye, To Yeh Aur Aafatein Dhaa Gaye
Ke Hawaas-o-Hosh-o-Khirad Hai Ab, Na Shakeeb-o-Sabr-o-Qarar Hai

Main Samajh Gaya Woh Hain Bewafa, Magar Un Ki Raah Mein Hoon Fida
Mujhe Khaak Mein Woh Mila Chuke, Magar Ab Bhi Dil Mein Ghubaar Hai

Mujhe Reham Aata Hai Dekh Kar Tera Haal Akbar-e-Nauha Gar
Tujhe Woh Bhi Chahe Khuda Kare, Ke Tu Jis Ka Aashiq-e-Zaar Hai

کہوں کس سے قصۂ درد و غم، کوئی ہمنشیں ہے نہ یار ہے
جو انیس ہے تری یاد ہے، جو شفیق ہے دلِ زار ہے

تو ہزار کرتا لگاوٹیں میں کبھی نہ آتا فریب میں
مجھے پہلے اس کی خبر نہ تھی ترا دو ہی دن کا یہ پیار ہے

یہ نوید اوروں کو جا سنا، ہم اسیرِ دام ہیں اے صبا
ہمیں کیا چمن ہے جو رنگ پر، ہمیں کیا جو فصلِ بہار ہے

وہ نظرجو مجھ سے ملا گئے، تو یہ اور آفتیں ڈھا گئے
کہ حواس و ہوش وخرد ہے اب، نہ شکیب و صبر و قرار ہے

میں سمجھ گیا وہ ہیں بے وفا مگر ان کی راہ میں ہوں فدا
مجھے خاک میں وہ ملا چکے، مگر اب بھی دل میں غبار ہے

مجھے رحم آتا ہے دیکھ کر ترا حال اکبرِ نوحہ گر
تجھے وہ بھی چاہے خدا کرے کہ تو جس کا عاشق زار ہے

 

Us Ne Sukoot-e-Shab Mein Bhi Apna Payam Rakh Diya – ٖFaraz
Deti Nahin Ammaa Jo Zameen Aasman To Hai (Munir Niazi)

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *