
Kaisa Dil Aur Is Ke Kya Gham Ji
Jaun Elia Poetry
کیسا دل اور اس کے کیا غم جی
یوں ہی باتیں بناتے ہیں ہم جی
کیا بھلا آستین اور دامن
کب سے پلکیں بھی اب نہیں نم جی
اس سے اب کوئی بات کیا کرنا
خود سے بھی بات کیجے کم کم جی
دل جو دل کیا تھا ایک محفل تھا
اب ہے درہم جی اور برہم جی
بات بے طور ہو گئی شاید
زخم بھی اب نہیں ہے مرہم جی
ہار دنیا سے مان لے شاید
دل ہمارے میں اب نہیں دم جی
ہے یہ حسرت کے ذبح ہو جاؤں
ہے شکن اس شکم کہ ظالم جی
کیسے آخر نہ رنگ کھیلیں ہم
دل لہو ہو رہا ہے جانم جی
ہے خرابہ حسینیہ اپنا
روز مجلس ہے اور ماتم جی
وقت دم بھر کا کھیل ہے اس میں
بیش از بیش ہے کم از کم جی
ہے ازل سے ابد تلک کا حساب
اور بس ایک پل ہے پیہم جی
بے شکن ہو گئی ہیں وہ زلفیں
اس گلی میں نہیں رہے خم جی
دشت دل کا غزال ہی نہ رہا
اب بھلا کس سے کیجئے رم جی
Kaisa Dil Aur Is Ke Kya Gham Ji
Yun Hi Baaten Banaate Hain Hum Ji
Kya Bhala Aasteen Aur Daaman
Kab Se Palkein Bhi Ab Nahin Nam Ji
Us Se Ab Koi Baat Kya Karna
Khud Se Bhi Baat Keeje Kam Kam Ji
Dil Jo Dil Kiya Tha Ek Mehfil Tha
Ab Hai Darham Ji Aur Barham Ji
Baat Be-Tour Ho Gayi Shayad
Zakhm Bhi Ab Nahin Hai Marham Ji
Haar Duniya Se Maan Le Shayad
Dil Hamare Mein Ab Nahin Dam Ji
Hai Ye Hasrat Ke Zabah Ho Jaaun
Hai Shikan Is Shikam Ke Zaalim Ji
Kaise Aakhir Na Rang Khelein Hum
Dil Lahoo Ho Raha Hai Janam Ji
Hai Kharaba Husainiya Apna
Roz Majlis Hai Aur Maatam Ji
Waqt Dam Bhar Ka Khel Hai Is Mein
Besh Az Besh Hai Kam Az Kam Ji
Hai Azal Se Abad Talak Ka Hisaab
Aur Bas Ek Pal Hai Paiham Ji
Be-Shikan Ho Gayi Hain Wo Zulfein
Us Gali Mein Nahin Rahe Khum Ji
Dasht-e-Dil Ka Ghazaal Hi Na Raha
Ab Bhala Kis Se Keejiye Ram Ji
Shaam-e-Firaaq Ab Na Poochh Aayi Aur Aa Ke Tal Gayi
Kat Hi Gayi Judaai Bhi, Kab Ye Hua Ke Mar Gaye