Adeem Hashmi

Kat Hi Gayi Judaai Bhi, Kab Ye Hua Ke Mar Gaye

Kat Hi Gayi Judaai Bhi, Kab Ye Hua Ke Mar Gaye

Adeem Hashmi Poetry

کٹ ہی گئی جدائی بھی کب یہ ہوا کہ مر گئے
تیرے بھی دن گزر گئے ، میرے بھی دن گزر گئے

تو بھی کچھ اور،اور ہے ہم بھی کچھ اوراور ہیں
جانے وہ تو کدھر گیا، جانے وہ ہم کدھر گئے

راہوں میں ملے تھے ہم ، راہیں نصیب بن گئیں
تو بھی نہ اپنے گھر گیا، ہم بھی نہ اپنے گھر گئے

وہ بھی غبارِ خاک تھا، ہم بھی غبارِ خاک تھے
وہ بھی کہیں بکھر گیا، ہم بھی کہیں بکھر گئے

کوئی کنارِآبِ جو بیٹھا ہوا ہے سرنگوں
کشتی کدھر چلی گئی، جانے کدھر بھنور گئے

تیرے لئے چلے تھے ہم ، تیرے لئے ٹھہر گئے
تو نے کہا تو جی اٹھے، تو نے کہا تو مر گئے

وقت ہی جدائی کا اتنا طویل ہو گیا
دل میں ترے وصال کے جتنے تھے زخم بھر گئے

بارش وصل وہ ہوئی سارا غبار دُھل گیا
وہ بھی نکھر نکھر گیا، ہم بھی نکھر نکھر گئے

اتنے قریب ہو گئے، اتنے رقیب ہو گئے
وہ بھی عدیم ڈر گیا، ہم بھی عدیم ڈر گئے

 

Kat Hi Gayi Judaai Bhi, Kab Ye Hua Ke Mar Gaye
Tere Bhi Din Guzar Gaye, Mere Bhi Din Guzar Gaye

Tu Bhi Kuch Aur Aur Hai, Hum Bhi Kuch Aur Aur Hain
Jaane Wo To Kidhar Gaya, Jaane Wo Hum Kidhar Gaye

Raahon Mein Mile Thay Hum, Raahen Naseeb Ban Gayi
Tu Bhi Na Apne Ghar Gaya, Hum Bhi Na Apne Ghar Gaye

Woh Bhi Ghubaar-e-Khaak Tha, Hum Bhi Ghubaar-e-Khaak Thay
Woh Bhi Kahin Bikhar Gaya, Hum Bhi Kahin Bikhar Gaye

Koi Kinār-e-Aab-e-Ju Baitha Hua Hai Sar-Nigoon
Kashti Kidhar Chali Gayi, Jaane Kidhar Bhanwar Gaye

Tere Liye Chalay Thay Hum, Tere Liye Thehar Gaye
Tu Ne Kaha To Jee Uthay, Tu Ne Kaha To Mar Gaye

Waqt Hi Judaai Ka Itna Taweel Ho Gaya
Dil Mein Tere Wisaal Ke Jitne Thay Zakhm Bhar Gaye

Baarish-e-Wasl Woh Hui Saara Ghubaar Dho Gaya
Woh Bhi Nikhar Nikhar Gaya, Hum Bhi Nikhar Nikhar Gaye

Itne Qareeb Ho Gaye, Itne Raqeeb Ho Gaye
Woh Bhi Adeem Dar Gaya, Hum Bhi Adeem Dar Gaye

Bechain Bohat Phirna, Ghabraaye Hue Rehna – Munir Niazi
Ab Apni Rooh Ke Chhaalon Ka Kuch Hisaab Karun – Rahat Indori
Mata-e-Qalb-o-Jigar Hain, Humein Kahin Se Milen – Parveen Shakir

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *