Amjad Islam Amjad

Kehne Ko Mera Us Se Koi Wasta Nahi – Amjad Islam Amjad

Kehne Ko Mera Us Se Koi Wasta Nahi

Amjad Islam Amjad Poetry

 

kehne ko mera us se koi wasta nahi
Amjad magar vo shakhS mujhe bhoolta nahi

کہنے کو میرا اُس سے کوئی واسطہ نہیں
امجد مگر وہ شخص مجھے بُھولتا نہیں 

Darta hoon aankh kholoon to manzar badal na jaaye
mein jaag to raha huoon magar jaagta nahi 

ڈرتا ہُوں آنکھ کھولوں تو منظر بدل نہ جائے
مَیں جاگ تو رہا ہُوں مگر جاگتا نہیں 

aashuftagi se us ki usse be wafa na jaan
aadat ki baat aur hai dil ka bura nahi 

آشفتگی سے اُس کی اُسے بے وفا نہ جان
عادت کی بات اور ہے دِل کا بُرا نہیں 

Saheb nazar se karta hai paththar bhii guftago
na jins ke huzoor zubaan kholta nahi 

صاحبِ نظر سے کرتا ہے پتّھر بھی گُفتگو
ناجنس کے حضور زباں کھولتا نہیں 

tanha udaas chaand ko samjho na be khabar
har baat sun raha hai magar bolta nahi

 تنہا اُداس چاند کو سمجھو نہ بےخبر
ہر بات سُن رہا ہے مگر بولتا نہیں

khaamosh ratjagon ka dhuwaan thaa chahaar soo
nikla kab aaftaab mujhe to pata nahi 

خاموش رتجگوں کا دُھواں تھا چہار سُو
نِکلا کب آفتاب مُجھے تو پتا نہیں

 Amjad Wo aankhein jheel si gehri to hain magar
un mein koi bhi aks mere naam ka nahi

 امجد وہ آنکھیں جھیل سی گہری تو ہیں مگر
اُن میں کوئی بھی عکس مِرے نام کا نہیں

 

Kabhi Ruk Gaye Kabhi Chal Diye – Urdu Poetry
Zikr-E-Shab-E-Firaaq Se Wahshat Use Bhi Thi – Mohsin Naqvi
Ahl-E-Dil Aur Bhi Hain Ahl-E-Wafa Aur Bhi Hain

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *