
Ghazal: Khair Auron Ne Bhi Chaha To Hai Tujh Sa Hona
Khair Auron Ne Bhi Chaha To Hai Tujh Sa Hona
Yeh Alag Baat Ke Mumkin Nahi Aisa Hona
Dekhta Aur Na Thaharta To Koi Baat Bhi Thi
Jis Ne Dekha Hi Nahi Us Se Khafa Kya Hona
Tujh Se Doori Mein Bhi Khush Rehta Hoon Pehle Ki Tarah
Bas Kisi Waqt Bura Lagta Hai Tanha Hona
Yoon Meri Yaad Mein Mehfooz Hain Tere Khad-o-Khaal
Jis Tarah Dil Mein Kisi Shay Ki Tamanna Hona
Zindagi Ma’rika-e-Rooh-o-Badan Hai Mushtaq
Ishq Ke Saath Zaroori Hai Hawas Ka Hona
خیر اوروں نے بھی چاہا تو ہے تجھ سا ہونا
یہ الگ بات کہ ممکن نہیں ایسا ہونا
دیکھتا اور نہ ٹھہرتا تو کوئی بات بھی تھی
جس نے دیکھا ہی نہیں اس سے خفا کیا ہونا
تجھ سے دوری میں بھی خوش رہتا ہوں پہلے کی طرح
بس کسی وقت برا لگتا ہے تنہا ہونا
یوں مری یاد میں محفوظ ہیں ترے خد و خال
جس طرح دل میں کسی شے کی تمنّا ہونا
زندگی معرکۂ روح و بدن ہے مشتاق
عشق کے ساتھ ضروری ہے ہوس کا ہونا
(احمد مشتاق)




