
Khwab Ki Tarah Bikhar Jaane Ko Ji Chahta Hai
Aisi Tanhai Ki Mar Jaane Ko Ji Chahta Hai
Ghar Ki Wahshat Se Larazta Hun Magar Jaane Kyun
Sham Hoti Hai To Ghar Jaane Ko Ji Chahta Hai
Dub Jaun To Koi Mauj Nishan Tak Na Batae
Aisi Naddi Mein Utar Jaane Ko Ji Chahta Hai
Kabhi Mil Jae To Raste Ki Thakan Jag Pade
Aisi Manzil Se Guzar Jaane Ko Ji Chahta Hai
Wahi Paiman Jo Kabhi Ji Ko Khush Aaya Tha Bahut
Usi Paiman Se Mukar Jaane Ko Ji Chahta Hai
خواب کی طرح بکھر جانے کو جی چاہتا ہے
ایسی تنہائی کہ مر جانے کو جی چاہتا ہے
گھر کی وحشت سے لرزتا ہوں مگر جانے کیوں
شام ہوتی ہے تو گھر جانے کو جی چاہتا ہے
ڈوب جاؤں تو کوئی موج نشاں تک نہ بتائے
ایسی ندی میں اتر جانے کو جی چاہتا ہے
کبھی مل جائے تو رستے کی تھکن جاگ پڑے
ایسی منزل سے گزر جانے کو جی چاہتا ہے
وہی پیماں جو کبھی جی کو خوش آیا تھا بہت
اسی پیماں سے مکر جانے کو جی چاہتا ہے
Poet: Iftikhar Arif
Read More:
Ab Bhala Chord ke Ghar Kia Karty – Parveen Shakir Poetry
Jis Ko Aksar Socha Tha Tanhai Main – Mohsin Naqvi Poetry
Ujar Ujar K Sanwarti Hai Terey Hijar Ki Sham