Urdu Poetry (Misc)

Kirchiyan Chunta Hoon To Hairani Bohat Hoti Hai – Urdu Poetry

کرچیاں چُنتا ہوں تو حیرانی بہت ہوتی ہے

کرچیاں چُنتا ہوں تو حیرانی بہت ہوتی ہے
دکھ نہیں ہوتا، پیشمانی بہت ہوتی ہے
فیصلہ سخت سہی اُس سے بچھڑ جانے کا
بعدازاں ہجر میں آسانی بہت ہوتی ہے
اکثر اوقات میں خالی ہی پڑا رہتا ہوں
بعض اوقات فراوانی بہت ہوتی ہے
میں ابھی دیکھ کے آیا ہوں ہرے جنگل کو
سبز پیڑوں میں بھی ویرانی بہت ہوتی ہے
اُن دنوں میں نظر انداز ہوا ہوتا ہوں
جن دنوں میری نگہبانی بہت ہوتی ہے
فاصلہ رکھئیے مناسب سا خرد مندی سے
عقل آ جائے تو نادانی بہت ہوتی ہے
آپ نے زخم دیا، ہم نے سہا، کافی ہے
دیکھئے اتنی مہربانی بہت ہوتی ہے

مقصود وفا

 

Kirchiyan Chunta Hoon To Hairani Bohat Hoti Hai
Dukh Nahin Hota, Peshmaani Bohat Hoti Hai

Faisla Sakht Sahi Us Se Bichhad Jaane Ka
Ba’ad Azan Hijr Mein Aasani Bohat Hoti Hai

Aksar Auqaat Mein Khaali Hi Para Rehta Hoon
Baaz Auqaat Farawani Bohat Hoti Hai

Main Abhi Dekh Ke Aaya Hoon Hare Jungle Ko
Sabz Pedon Mein Bhi Veerani Bohat Hoti Hai

Un Dinon Mein Nazar Andaaz Hua Hota Hoon
Jin Dinon Meri Nigahbani Bohat Hoti Hai

Faasla Rakhiye Munasib Sa Khirad-Mandi Se
Aql Aa Jaaye To Naadani Bohat Hoti Hai

Aap Ne Zakhm Diya, Hum Ne Saha, Kaafi Hai
Dekhiye Itni Meherbani Bohat Hoti Hai

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *