Ahmad Faraz

Kis Taraf Ko Chalti Hai Ab Hawa, Nahin Maloom – Ahmed Faraz

Kis Taraf Ko Chalti Hai Ab Hawa, Nahin Maloom

Ahmed Faraz


Haath Utha Liye Sab Ne Aur Dua Nahin Maloom

Mausamon Ke Chehron Se Zardiyan Nahin Jaatin
Phool Kyu Nahin Lagte Khushnuma, Nahin Maloom

Rehbaron Ke Tevar Bhi Rehzanon Se Lagte Hain
Kab Kahaan Pe Lut Jaye Qafila, Nahin Maloom

Aaj Sab Ko Da’wa Hai Apni Apni Chahat Ka
Kaun Kis Se Hota Hai Kal Juda, Nahin Maloom

Manzilon Ki Tabdeeli Bas Nazar Mein Rehti Hai
Hum Bhi Hote Jaate Hain Kya Se Kya, Nahin Maloom

Hum Faraz Ash’aron Se Dil Ke Zakhm Bharte Hain
Kya Karein Masiha Ko Jab Dawa Nahin Maloom

کس طرف کو چلتی ہے اب ہوا، نہیں معلوم
ہاتھ اُٹھا لیے سب نے اور دعا نہیں معلوم

موسموں کے چہروں سے زردیاں نہیں جاتیں
پھول کیوں نہیں لگتے خوشنما، نہیں معلوم

رہبروں کے تیور بھی رہزنوں سے لگتے ہیں
کب کہاں پہ لُٹ جائے قافلہ، نہیں معلوم

آج سب کو دعوی ہے اپنی اپنی چاہت کا
کون کس سے ہوتا ہے کل جدا، نہیں معلوم

منزلوں کی تبدیلی بس نظر میں رہتی ہے
ہم بھی ہوتے جاتے ہیں کیا سے کیا، نہیں معلوم

ہم فرازشعروں سے ،دل کے زخم بھرتے ہیں
کیا کریں مسیحا کو جب دوا نہیں معلوم

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *