Sad Poetry

Kise Bulana Tha Aur Kis Ke Paas Jaana Tha – Asim Ijaz

Kise Bulana Tha Aur Kis Ke Paas Jaana Tha

Poet: Asim Ijaz

 

Kise Bulana Tha Aur Kis Ke Paas Jaana Tha
Safar Ka Shauq Tha So Raasta Banaana Tha

Tumhaare Dil Mein Koi Der Hum Ruke To Khula
Tumhaare Dil Mein Kisi Aur Ka Thikaana Tha

Tujhe To Bhool Bhi Sakte The Umr Bhar Ke Liye
Yeh Bebasi To Mohabbat Ka Shaakhsana Tha

Humein To Aakhri Cigarette Ke Aakhri Kash Tak
Khayaal-e-Yaar Ki Chaadar Mein Sar Chhupaana Tha

Tumhaare Haath Mein Tasveer Thi Puraani Si
Humaare Saamne Guzra Hua Zamaana Tha

Bahal Kis Tarah Ronaq Ho Ujre Aangan Ki
Tamaam Log The Ghar Mein To Aashiyaana Tha

Sad Poetry in Urdu

کسے بلانا تھا اور کس کے پاس جانا تھا
سفر کا شوق تھا سو راستہ بنانا تھا

تمہارے دل میں کوئی دیر ہم رکے تو کھلا
تمہارے دل میں کسی اور کا ٹھکانہ تھا

تجھے تو بھول بھی سکتے تھے عمر بھر کے لئے
یہ بے بسی تو محبت کا شاخسانہ تھا

ہمیں تو آخری سگریٹ کے آخری کش تک
خیال یار کی چادر میں سر چھپانا تھا

تمہارے ہاتھ میں تصویر تھی پرانی سی
ہمارے سامنے گزرا ہوا زمانہ تھا

بحال کس طرح رونق ہو اجڑے آنگن کی
تمام لوگ تھے گھر میں تو آشیانہ تھا

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *