Abida ParveenNasir Kazmi

Kisi Kali Ne Bhi Dekha Na Aankh Bhar Ke Mujhe – Lyrics

ناصر کاظمی - کسی کلی نے بھی دیکھا نہ آنکھ بھر کے مجھے

Kisi Kali Ne Bhi Dekha Na Aankh Bhar Ke Mujhe
Abida Parveen Lyrics | Poet: Nasir Kazmi

Kisi Kali Ne Bhi Dekha Na Aankh Bhar Ke Mujhe
Guzar Gayi Jaras-e-Gul Udaas Kar Ke Mujhe

Main So Raha Tha Kisi Yaad Ke Shabistaan Mein
Jaga Ke Chhod Gaye Qafile Sehar Ke Mujhe

Main Tere Dard Ki Taghyaaniyon Mein Doob Gaya
Pukaartay Rahe Taare Ubhar Ubhar Ke Mujhe

Tere Firaaq Ki Raatein Kabhi Na Bhoolen Gi
Maze Mile Inhi Raaton Mein Umar Bhar Ke Mujhe

Zara Si Der Thaharne De Ae Gham-e-Duniya
Bula Raha Hai Koi Baam Se Utar Ke Mujhe

Kisi Kali Ne Bhi Dekha Na Aankh Bhar Ke Mujhe
Lyrics in Urdu

کسی کلی نے بھی دیکھا نہ آنکھ بھر کے مجھے
گزر گئی جرس گل اداس کرکے مجھے
میں سو رہا تھا کسی یاد کے شبستاں میں
جگا کے چھوڑ گئے قافلے سحر کے مجھے
میں تیرے درد کی تغیانیوں میں ڈوب گیا
پکارتے رہے تارے ابھر ابھر کے مجھے
تیرے فراق کی راتیں کبھی نہ بھولیں گی
مزے ملے انہی راتوں میں عمر بھر کے مجھے
ذرا سی دیر ٹہرنے دے اے غمِ دنیا
بلا رہا ہے کوئی بام سے اتر کے مجھے

Us Ne Sukoot-e-Shab Mein Bhi Apna Payam Rakh Diya – ٖFaraz
Bas Yeh Hua Ke Usne Takalluf Se Baat Ki – Parveen Shakir
Deti Nahin Ammaa Jo Zameen Aasman To Hai (Munir Niazi)

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *