
Kisi Ke Chhorne Ke Gham Mein Aur Malaal Mein Ho
Komal Joya Poetry
Kisi Ke Chhorne Ke Gham Mein Aur Malaal Mein Ho
Agar Woh Laut Ke Aaye, Shikasta Haal Mein Ho
Urooj Par Sabhi Auqat Bhool Jaate Hain
Wohi Khuloos Dikhata Hai, Jo Zawaal Mein Ho
Na Dijiye Use Tark E Talluqaat Ka Dosh
Ye Raayigani Bhi Shaayad, Humaari Faal Mein Ho
Koi To Shaam Yun Utare Daricha E Shab Par
Chiraag Wajd Mein Aaya Ho, Lo Dhamaal Mein Ho
Kya Hai Chot Ko Kuch Isliye Nazar Andaaz
Kharaab Zakhm Zyada Na Dekh Bhaaal Mein Ho
Kabhi To Aisa Bhi Manzar Dikha Khuda, Jis Mein
Parinda Qaid Se Baahar, Shikaari Jaal Mein Ho
So, Kaar E Gham Mein Tawazun Bara Zaroori Hai
Koi Bhi Kaam Kiya Jaye, Itedaal Mein Ho
Kisi Ke Chhorne Ke Gham Mein Aur Malaal Mein Ho
Urdu Shayari
کسی کے چھوڑنے کے غم میں اور ملال میں ہو
اگر وہ لوٹ کے آئے ، شکستہ حال میں ہو
عروج پر سبھی اوقات بھول جاتے ہیں
وہی خلوص دِکھاتا ہے ، جو زوال میں ہو
نہ دیجئے اسے ترکِ تعلقات کا دوش
یہ رائیگانی بھی شائد ، ہماری فال میں ہو
کوئی تو شام یوں اترے دریچہ ء شب پر
چراغ وجد میں آیا ہو ، لَو دھمال میں ہو
کیا ہے چوٹ کو کچھ اسلئے نظر انداز
خراب زخم زیادہ نہ دیکھ بھال میں ہو
کبھی تو ایسا بھی منظر دکھا خدا ، جس میں
پرندہ قید سے باہر ، شکاری جال میں ہو
سو ، کارِ غم میں توازن بڑا ضروری ہے
کوئی بھی کام کیا جائے ، اعتدال میں ہو
کومل جوئیہ




