
Teri Mehfil Mein Qismat Aazma Kar Hum Bhi Dekhenge
Poet: Shakeel Badayuni
Kisi Ke Ishq Mein Duniya Luta Kar Hum Bhi Dekhenge
Teri Mehfil Mein Qismat Aazma Kar Hum Bhi Dekhenge
Ghadi Bhar Ko Tere Nazdeek Aa Kar Hum Bhi Dekhenge
Tere Qadmon Pe Apna Sar Jhuka Kar Hum Bhi Dekhenge
Baharen Aaj Paighaam-e-Mohabbat Le Kar Aayi Hain
Bari Muddat Mein Umeedon Ki Kaliyan Muskuraai Hain
Gham-e-Dil Se Zara Daman Bacha Kar Hum Bhi Dekhenge
Agar Dil Gham Se Khali Ho To Jeene Ka Maza Kya Hai
Na Ho Khoon-e-Jigar To Ashk Peene Ka Maza Kya Hai
Mohabbat Mein Zara Aansoo Baha Kar Hum Bhi Dekhenge
Mohabbat Karne Walon Ka Hai Bas Itna Hi Afsana
Tadapna Chupke Chupke Aah Bharna Ghat Ke Mar Jaana
Kisi Din Ye Tamasha Muskura Kar Hum Bhi Dekhenge
Mohabbat Hum Ne Maana Zindagi Barbaad Karti Hai
Ye Kya Kam Hai Ke Mar Jaane Pe Duniya Yaad Karti Hai
Kisi Ke Ishq Mein Duniya Luta Kar Hum Bhi Dekhenge
Kisi Ke Ishq Mein Duniya Luta Kar (Lyrics in Urdu)
تیری محفل میں قسمت آزما کر ہم بھی دیکھیں گے
گھڑی بھر کو تیرے نزدیک آ کر ہم بھی دیکھیں گے
ترے قدموں پہ اپنا سر جھکا کر ہم بھی دیکھیں گے
بہاریں آج پیغام محبت لے کر آئی ہیں
بڑی مدت میں امیدوں کی کلیاں مسکرائی ہیں
غم دل سے ذرا دامن بچا کر ہم بھی دیکھیں گے
اگر دل غم سے خالی ہو تو جینے کا مزا کیا ہے
نہ ہو خون جگر تو اشک پینے کا مزا کیا ہے
محبت میں ذرا آنسو بہا کر ہم بھی دیکھیں گے
محبت کرنے والوں کا ہے بس اتنا ہی افسانہ
تڑپنا چپکے چپکے آہ بھرنا گھٹ کے مر جانا
کسی دن یہ تماشا مسکرا کر ہم بھی دیکھیں گے
محبت ہم نے مانا زندگی برباد کرتی ہے
یہ کیا کم ہے کہ مر جانے پہ دنیا یاد کرتی ہے
کسی کے عشق میں دنیا لٹا کر ہم بھی دیکھیں گے