
Kisi Ko Apne Amal Ka Hisaab Kya Detay
Munir Niazi
Kisi Ko Apne Amal Ka Hisaab Kya Detay
Sawal Saare Ghalat Thay Jawaab Kya Detay
Kharab Sadiyon Ki Be Khwabiyan Theen Aankhon Mein
Ab In Be Int Khalaon Mein Khwab Kya Detay
Hawa Ki Tarah Musafir Thay Dilbaron Ke Dil
Unhein Bas Aik Hi Ghar Ka Azaab Kya Detay
Sharaab Dil Ki Talab Thi Shara Ke Pehre Mein
Hum Itni Tangi Mein Us Ko Sharaab Kya Detay
Muneer Dasht Shuru Se Siraab Asa Tha
Is Aaine Ko Tamanna Ki Aab Kya Detay
کسی کو اپنے عمل کا حساب کیا دیتے
سوال سارے غلط تھے جواب کیا دیتے
خراب صدیوں کی بے خوابیاں تھیں آنکھوں میں
اب ان بے انت خلاؤں میں خواب کیا دیتے
ہوا کی طرح مسافر تھے دلبروں کے دل
انہیں بس ایک ہی گھر کا عذاب کیا دیتے
شراب دل کی طلب تھی شرع کے پہرے میں
ہم اتنی تنگی میں اس کو شراب کیا دیتے
منیرؔ دشت شروع سے سراب آسا تھا
اس آئنے کو تمنا کی آب کیا دیتے
Apne Bete Ke Liye Ek Nazm – Parveen Shakir
Kaise Keh Doon Ke Mulaqat Nahi Hoti Hai – Shakeel Badayuni
Yeh Hum Jo Hijr Mein Deewar-o-Dar Ko Dekhte Hain – Ghalib




