
Kisi Ko Ghar Mila Hisse Mein Ya Koi Dukaan Aayi
Poet: Munawwar Rana
Kisi Ko Ghar Mila Hisse Mein Ya Koi Dukaan Aayi
Main Ghar Mein Sab Se Chhota Tha Mere Hisse Mein Maa Aayi
کسی کو گھر ملا حصے میں یا کوئی دکاں آئی
میں گھر میں سب سے چھوٹا تھا مرے حصے میں ماں آئی
Yahaan Se Jaane Waala Laut Kar Koi Nahin Aaya
Main Rota Rah Gaya Lekin Na Wapas Ja Ke Maa Aayi
یہاں سے جانے والا لوٹ کر کوئی نہیں آیا
میں روتا رہ گیا لیکن نہ واپس جا کے ماں آئی
Adhoore Raaste Se Lautna Achchha Nahin Hota
Bulaane Ke Liye Duniya Bhi Aayi To Kahaan Aayi
ادھورے راستے سے لوٹنا اچھا نہیں ہوتا
بلانے کے لیے دنیا بھی آئی تو کہاں آئی
Kisi Ko Gaanw Se Pardes Le Jayegi Phir Shayad
Udaati Rail-Gaadi Dhher Saara Phir Dhuaan Aayi
کسی کو گاؤں سے پردیس لے جائے گی پھر شاید
اڑاتی ریل گاڑی ڈھیر سارا پھر دھواں آئی
Mere Bachchon Mein Saari Aadatein Maujood Hain Meri
To Phir In Bad-Naseebon Ko Na Kyun Urdu Zabaan Aayi
مرے بچوں میں ساری عادتیں موجود ہیں میری
تو پھر ان بد نصیبوں کو نہ کیوں اردو زباں آئی
Qafas Mein Mausamo’n Ka Koi Andaaza Nahin Hota
Khuda Jaane Bahaar Aayi Chaman Mein Ya Khizaa’n Aayi
قفس میں موسموں کا کوئی اندازہ نہیں ہوتا
خدا جانے بہار آئی چمن میں یا خزاں آئی
Gharaunde To Gharaunde Hain Chattaanein Toot Jaati Hain
Udaane Ke Liye Aandhi Agar Naam-O-Nishaan Aayi
گھروندے تو گھروندے ہیں چٹانیں ٹوٹ جاتی ہیں
اڑانے کے لیے آندھی اگر نام و نشاں آئی
Kabhi Ai Khush-Naseebi Mere Ghar Ka Rukh Bhi Kar Leti
Idhar Pahunchi Udhar Pahunchi Yahaan Aayi Wahaan Aayi
کبھی اے خوش نصیبی میرے گھر کا رخ بھی کر لیتی
ادھر پہنچی ادھر پہنچی یہاں آئی وہاں آئی
Woh Hum Safar Tha Magar Us Se Hum Nawai Na Thi (Lyrics)
Meda Ishq Vi Toon Meda Yaar Vi Toon (Lyrics in Urdu)
Jo Na Mil Sake Wohi Bewafa Yeh Badi Ajeeb Si Baat Hai – Lyrics