Urdu Poetry (Misc)

Kitaab Saada Rahegi Kab Tak – Full Poetry

کتاب سادہ رہے گی کب تک، کبھی تو آغازِ باب ہو گا

Kitaab Saada Rahegi Kab Tak
Kabhi To Aghaaz-e-Baab Hoga

 

کتاب سادہ رہے گی کب تک، کبھی تو آغازِ باب ہو گا

جنہوں نے بستی اجاڑ ڈالی، کبھی تو ان کا حساب ہو گا

وہ دن گئے جب کہ ہر ستم کو ادائے محبوب کہہ کے چپ تھے

اٹھی جو اب ہم پہ اینٹ کوئی، تو اس کا پتھر جواب ہو گا

سحر کی خوشیاں منانے والو، سحر کے تیور بتا رہے ہیں

ابھی تو اتنی گھٹن بڑھے گی، کہ سانس لینا عذاب ہو گا

سکوتِ صحرا میں بسنے والو، ذرا رُتوں کا مزاج سمجھو

جو آج کا دن سکوں سے گزرا تو کل کا موسم خراب ہو گا

نہیں کہ یہ صرف شاعری ہے، غزل میں تاریخِ بے حسی ہے

جو آج شعروں میں کہہ دیا ہے، وہ کل شریکِ نصاب ہو گا

مرتضی برلاس

 

Kitaab Saada Rahegi Kab Tak – Roman Urdu 

Kitaab Saada Rahegi Kab Tak, Kabhi To Aghaaz-e-Baab Hoga
Jin Hon Ne Basti Ujaad Daali, Kabhi To Un Ka Hisaab Hoga

Woh Din Gaye Jab Ke Har Sitam Ko Adaaye Mehboob Keh Ke Chup The
Uthi Jo Ab Hum Pe Eent Koi, To Us Ka Pathar Jawaab Hoga

Sehar Ki Khushiyan Manaane Walo, Sehar Ke Tevar Bata Rahe Hain
Abhi To Itni Ghutan Badhegi, Ke Saans Lena Azaab Hoga

Sukoot-e-Sahra Mein Basne Walo, Zara Rutoon Ka Mizaaj Samjho
Jo Aaj Ka Din Sukoon Se Guzra To Kal Ka Mausam Kharaab Hoga

Nahi Ke Yeh Sirf Shayari Hai, Ghazal Mein Tareekh-e-Be Hisi Hai
Jo Aaj She’ron Mein Keh Diya Hai, Woh Kal Shareek-e-Nisaab Hoga

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *