
Koi Haalat Bhi Ab Taari Nahi Hai
Jaun Elia Poetry
Koi Haalat Bhi Ab Taari Nahi Hai
To Kya Yeh Dil Ki Nadari Nahi Hai
Main Hoon Aise Safar Par Jane Wala
Ke Jis Ki Koi Tiyaari Nahi Hai
Hoon Zid Par Is Tarah Teer-e-Fana Ki
Abhi Jaise Meri Baari Nahi Hai
Kahoon Kya, Kitna Be-Aaram Hoon Main
Meri Umeed Abhi Haari Nahi Hai
Main Apne Aap Se Hoon Ghair Kitna
Kisi Se Bhi Meri Yaari Nahi Hai
Hoon Be-Had Tang Apne Aap Se Main
Ke Ab Tak Khud Se Bezaari Nahi Hai
Yeh Meri Zindagi, Meri Azeeyat
Hai Aisa Waar, Jo Kaari Nahi Hai
Ilm Uth’te To Hain Ab Bhi Humaare
Magar Woh Giriya-o-Zaari Nahi Hai
Gilah Kar Ab Bichhadne Mein Humaare
Meri Jaan! Koi Dushwaari Nahi Hai
میں ہوں ایسے سفر پر جانے والا
کہ جس کی کوئی تیاری نہیں ہے
ہوں ضد پر اس طرح تیرِ فنا کی
ابھی جیسے میری باری نہیں ہے
کہوں کیا ، کتنا بے آرام ہوں میں
میری امید ابھی ہاری نہیں ہے
میں اپنے آپ سے ہوں غیر کتنا
کسی سے بھی میری یاری نہیں ہے
ہوں بیحد تنگ اپنے آپ سے میں
کہ اب تک خود سے بیزاری نہیں ہے
یہ میری زندگی ، میری اذیت
ہے ایسا وار ، جو کاری نہیں ہے
علم اٹھتے تو ہیں اب بھی ہمارے
مگر وہ گریہ و زاری نہیں ہے
گلہ کر اب بچھڑنے میں ہمارے
میری جان ! کوئی دشواری نہیں ہے