Iftikhar Arif

Koi To Phool Khilaye Dua Ke Lehje Mein – Iftikhar Arif

کوئی تو پھول کھلائے دعا کے لہجے میں - افتخار عارف

Koi To Phool Khilaye Dua Ke Lehje Mein
Iftikhar Arif Poetry

Koi To Phool Khilaye Dua Ke Lehje Mein
Aajab Tarah Ki Ghutan Hai Hawa Ke Lehje Mein

Yeh Waqt Kis Ki Raaonat Pe Khaak Daal Gaya
Yeh Kaun Bol Raha Tha Khuda Ke Lehje Mein

Na Jaane Khalq-E-Khuda Kaun Se Azaab Mein Hai
Hawaayein Cheekh Parin Iltija Ke Lehje Mein

Khula Fareb-E-Mohabbat Dikhai Deta Hai
Aajab Kamaal Hai Is Be-Wafa Ke Lehje Mein

Yahi Hai Maslehat Jabr-E-Ihtiyaat To Phir
Hum Apna Haal Kahein Ge Chhupa Ke Lehje Mein

کوئی تو پھول کھلائے دعا کے لہجے میں
عجب طرح کی گھٹن ہے ہوا کے لہجے میں

یہ وقت کس کی رعونت پہ خاک ڈال گیا
یہ کون بول رہا تھا خدا کے لہجے میں

نہ جانے خلق خدا کون سے عذاب میں ہے
ہوائیں چیخ پڑیں التجا کے لہجے میں

کھلا فریب محبت دکھائی دیتا ہے
عجب کمال ہے اس بے وفا کے لہجے میں

یہی ہے مصلحت جبر احتیاط تو پھر
ہم اپنا حال کہیں گے چھپا کے لہجے میں

Mujh Ko Maloom Tha Main Aur Sanwar Jaaoon Ga – Ghazal
Ye Jugnuon Ki Qiyadat Mein Chalne Wale Log – Urdu Shayari
Tamaam Umar Tera Intezar Hum Ne Kiya – Lyrics – Ghulam Ali

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *