Kaifi Azmi

Koi Yeh Kaise Bataaye Ke Wo Tanha Kyun Hai – Kaifi Azmi

Koi Yeh Kaise Bataaye Ke Wo Tanha Kyun Hai
Kaifi Azmi Poetry in Urdu

 

Koi Yeh Kaise Bataaye Ke Wo Tanha Kyun Hai
Wo Jo Apna Tha Wohi Aur Kisi Ka Kyun Hai
Yeh Duniya Hai To Phir Aisi Yeh Duniya Kyun Hai
Yeh Hi Hota Hai To Aakhir Yeh Hi Hota Kyun Hai
Aik Zara Haath Badhaa Dein To Pakad Lein Daman
Un Ke Sine Mein Sama Jaye Hamari Dhadkan
Itni Qurbat Hai To Phir Fasaala Itna Kyun Hai
Dil Barbaad Se Nikalaa Nahin Ab Tak Koi
Is Lutay Ghar Pe Diya Karta Hai Dastak Koi
Aas Jo ToT Gai Phir Se Bandhta Kyun Hai
Tum Musarrat Ka Kaho Ya Use Ghamm Ka Rishta
Kehtay Hain Pyaar Ka Rishta Hai Janm Ka Rishta
Hai Janm Ka Jo Yeh Rishta To Badalta Kyun Hai

کوئی یہ کیسے بتائے کہ وہ تنہا کیوں ہے
وہ جو اپنا تھا وہی اور کسی کا کیوں ہے
یہی دنیا ہے تو پھر ایسی یہ دنیا کیوں ہے
یہی ہوتا ہے تو آخر یہی ہوتا کیوں ہے
اک ذرا ہاتھ بڑھا دیں تو پکڑ لیں دامن
ان کے سینے میں سما جائے ہماری دھڑکن
اتنی قربت ہے تو پھر فاصلہ اتنا کیوں ہے
دل برباد سے نکلا نہیں اب تک کوئی
اس لٹے گھر پہ دیا کرتا ہے دستک کوئی
آس جو ٹوٹ گئی پھر سے بندھاتا کیوں ہے
تم مسرت کا کہو یا اسے غم کا رشتہ
کہتے ہیں پیار کا رشتہ ہے جنم کا رشتہ
ہے جنم کا جو یہ رشتہ تو بدلتا کیوں ہے

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *