Kon Aaya Ke Nigahon Mein Chamak Jaag Uthi
Sahir Ludhianvi
Kon Aaya Ke Nigahon Mein Chamak Jaag Uthi
Dil Ke Soye Hue Taron Mein Khanak Jaag Uthi
Kis Ke Aanay Ki Khabar Le Ke Hawayein Aayin
Jism Se Phool Chatakne Ki Sadaayein Aayin
Rooh Khilne Lagi Saanson Mein Mehak Jaag Uthi
Dil Ke Soye Hue Taron Mein Khanak Jaag Uthi
Kis Ne Yun Meri Taraf Dekh Ke Bahein Kholi
Shokh Jazbat Ne Seene Mein Nigahen Kholi
Hont Tapne Lage Zulfon Mein Lachak Jaag Uthi
Dil Ke Soye Hue Taron Mein Khanak Jaag Uthi
Kis Ke Hathon Ne Mere Hathon Se Kuch Manga Hai
Kis Ke Khwabon Ne Mere Khwabon Se Kuch Manga Hai
Dil Machalne Laga Aanchal Mein Dhanak Jaag Uthi
Dil Ke Soye Hue Taron Mein Khanak Jaag Uthi
Kon Aaya Ke Nigahon Mein Chamak Jaag Uthi
Sahir Ludhianvi Poetry in Urdu
کون آیا کہ نگاہوں میں چمک جاگ اٹھی
دل کے سوئے ہوئے تاروں میں کھنک جاگ اٹھی
کس کے آنے کی خبر لے کے ہوائیں آئیں
جسم سے پھول چٹکنے کی صدائیں آئیں
روح کھلنے لگی سانسوں میں مہک جاگ اٹھی
دل کے سوئے ہوئے تاروں میں کھنک جاگ اٹھی
کس نے یوں میری طرف دیکھ کے باہیں کھولیں
شوخ جذبات نے سینے میں نگاہیں کھولیں
ہونٹ تپنے لگے زلفوں میں لچک جاگ اٹھی
دل کے سوئے ہوئے تاروں میں کھنک جاگ اٹھی
کس کے ہاتھوں نے مرے ہاتھوں سے کچھ مانگا ہے
کس کے خوابوں نے مرے خوابوں سے کچھ مانگا ہے
دل مچلنے لگا آنچل میں دھنک جاگ اٹھی
دل کے سوئے ہوئے تاروں میں کھنک جاگ اٹھی
Haq Meri Mohabbat Ka Ada Kyun Nahi Karte – Urdu Poetry
Ae Husn-e-Lala Faam! Zara Aankh To Mila – Saghar Siddiqi
Mohabbat Ke Safar Mein Koi Bhi Rasta Nahi Deta – Urdu Poetry
Na Hum Rahe Na Wo Khwabon Ki Zindagi Hi Rahi – Jaun Elia Poetry