
Kya Batayen, Ishq Zalim Kya Qayamat Dhaye Hai
Jigar Muradabadi Poetry
Kya Batayen, Ishq Zalim Kya Qayamat Dhaye Hai
Yeh Samajh Lo, Jaise Dil Seene Se Nikla Jaye Hai
Jab Nahin Tum, To Tasawwur Bhi Tumhara Kya Zaroor?
Is Se Bhi Keh Do Ke Yeh Takleef Kyun Farmaaye Hai
Haaye, Woh Aalam Na Poocho Iztiraab-e-Ishq Ka!
Yak Ba Yak Jis Waqt Kuch Kuch Hosh Sa Aajaye Hai
Kis Taraf Jaoon, Kidhar Dekhoon, Kise Aawaaz Doon
Ae Hujoom-e-Na-Muraadi! Jee Bahut Ghabraaye Hai
کیا بتائیں، عشق ظالم کیا قیامت ڈھائے ہے
یہ سمجھ لو، جیسے دل سینے سے نِکلا جائے ہے
جب نہیں تُم ، تو تصوّر بھی تُمھارا کیا ضرور؟
اِس سے بھی کہہ دو کہ یہ تکلیف کیوں فرمائے ہے
ہائے، وہ عالم نہ پُوچھو اِضطرابِ عِشق کا !
یک بہ یک جس وقت کچھ کچھ ہوش سا آجائے ہے
کِس طرف جاؤں، کِدھر دیکھوں، کِسے آواز دُوں
اے ہجومِ نا مُرادی! جی بہت گھبرائے ہے
جگرمُراد آبادی
Yeh Jafa-e-Gham Ka Chaara, Woh Nijaat-e-Dil Ka Aalam – Faiz
Pehli Baat Hi Aakhri Thi By Muneer Niazi
Yeh Jo Ab Morr Aaya Hai – Amjad Islam Amjad




