
Kya Hai Jo Pyaar To Pare Ga Nibhana – Lyrics
Kya Hai Jo Pyaar To Pare Ga Nibhana
Rakh Diya Qadmon Mein Dil Nazrana
Qabool Kar Lo, Haaye Haaye, Qabool Kar Lo
Kya Hai Jo Pyaar To Pare Ga Nibhana
Rakh Diya Qadmon Mein Dil Nazrana
Qabool Kar Lo, Haaye Haaye, Qabool Kar Lo
Dekho Ye Fazaayein, Ye Rut, Ye Nazaare
Chhoti Si Ye Waadi Bhi Kitni Haseen Hai
Kaise Jaane Doon Main Tumhe, O Jaane Waale
Mera Dil Mere Hi Bas Mein Nahin
Aaye Ga Na Laut Ke Samaa Ye Sahana
Rakh Diya Qadmon Mein Dil Nazrana
Qabool Kar Lo, Haaye Haaye, Qabool Kar Lo
Tum Ko Pata Hai, Tumhare Is Pyaar Mein
Khud Ko Mitaya, To Maine Tumhe Paaya
Apne Hi Saaye Se Chhup Ke Hamesha
Maine Tumhe Naghma-e-Wafa Ka Sunaya
Tum Hue Door To Hase Ga Zamana
Rakh Diya Qadmon Mein Dil Nazrana
Qabool Kar Lo, Haaye Haaye, Qabool Kar Lo
Abhi Tak Maine To Apne Ghamon Se
Parday Wafa Ka Uthaya Bhi Nahin Hai
Sun Ke Jise Tum Bahut Pachtāo
Maine Wo Fasana Sunaya Bhi Nahin Hai
Kahan Chale Chhod Ke Adhoora Fasana?
Rakh Diya Qadmon Mein Dil Nazrana
Qabool Kar Lo, Haaye Haaye, Qabool Kar Lo
– Qateel Shifai
Kya Hai Jo Pyaar To Pare Ga Nibhana – Lyrics in Urdu
کیا ہے جو پیار تو پڑے گا نبھانا
رکھ دیا قدموں میں دل نذرانہ
قبول کر لو، ہائے ہائے، قبول کر لو
کیا ہے جو پیار تو پڑے گا نبھانا
رکھ دیا قدموں میں دل نذرانہ
قبول کر لو، ہائے ہائے، قبول کر لو
دیکھو یہ فضائیں، یہ رت، یہ نظارے
چھوٹی سی یہ وادی بھی کتنی حسیں ہے
کیسے جانے دوں میں تمہیں، او جانے والے
میرا دل میرے ہی بس میں نہیں
آئے گا نہ لوٹ کے سما یہ سہانا
رکھ دیا قدموں میں دل نذرانہ
قبول کر لو، ہائے ہائے، قبول کر لو
تم کو پتہ ہے، تمہارے اس پیار میں
خود کو مٹایا، تو میں نے تمہیں پایا
اپنے ہی سایہ سے چھپ کے ہمیشہ
میں نے تمہیں نغمہ وفا کا سنایا
تم ہوئے دور تو ہسے گا زمانہ
رکھ دیا قدموں میں دل نذرانہ
قبول کر لو، ہائے ہائے، قبول کر لو
ابھی تک میں نے تو اپنے غموں سے
پردے وفا کا اُٹھایا بھی نہیں ہے
سن کے جسے تم بہت پچھتاؤ
میں نے وہ فسانہ سنایا بھی نہیں ہے
کہاں چلے چھوڑ کے ادھورا فسانہ؟
رکھ دیا قدموں میں دل نذرانہ
قبول کر لو، ہائے ہائے، قبول کر لو
Aa Gayi Yaad Shaam Dhalte Hi – Lyrics [Munir Niazi Poetry]
Bas Yeh Hua Ke Usne Takalluf Se Baat Ki – Parveen Shakir
Yaar Ke Gham Ko Ajab Naqsh Gari Aati Hai – Abbas Tabish




