
Kya Hai Pyar Jise Hum Ne Zindagi Ki Tarah
Kya Hai Pyar Jise Hum Ne Zindagi Ki Tarah
Woh Aashna Bhi Mila Hum Se Ajnabi Ki Tarah
Kise Khabar Thi Badhegi Kuch Aur Tareeki
Chhupega Woh Kisi Badli Mein Chandni Ki Tarah
Badha Ke Pyaas Meri Us Ne Haath Chhor Diya
Woh Kar Raha Tha Maroovat Bhi Dil Lagi Ki Tarah
Sitm To Yeh Hai Ke Woh Bhi Na Ban Saka Apna
Qabool Hum Ne Kiye Jis Ke Gham Khushi Ki Tarah
Kabhi Na Socha Tha Hum Ne Qateel Us Ke Liye
Karega Hum Pe Sitam Woh Bhi Har Kisi Ki Tarah
Kya Hai Pyar Jise Hum Ne Zindagi Ki Tarah
Qateel Shifai Poetry in Urdu
کیا ہے پیار جسے ہم نے زندگی کی طرح
وہ آشنا بھی ملا ہم سے اجنبی کی طرح
کسے خبر تھی بڑھے گی کچھ اور تاریکی
چھپے گا وہ کسی بدلی میں چاندنی کی طرح
بڑھا کے پیاس مری اس نے ہاتھ چھوڑ دیا
وہ کر رہا تھا مروت بھی دل لگی کی طرح
ستم تو یہ ہے کہ وہ بھی نہ بن سکا اپنا
قبول ہم نے کیے جس کے غم خوشی کی طرح
کبھی نہ سوچا تھا ہم نے قتیلؔ اس کے لیے
کرے گا ہم پہ ستم وہ بھی ہر کسی کی طرح




