
Kya Zamana Tha Keh Hum Roz Mila Karte The
Nasir Kazmi Poetry
Kya Zamana Tha Keh Hum Roz Mila Karte The
Raat-Bhar Chand Ke Hamrah Phira Karte The
Jahan Tanhaiyan Sar PhoD Ke So Jati Hain
In Makanon Mein Ajab Log Raha Karte The
Kar Diya Aaj Zamane Ne Unhen Bhi Majbur
Kabhi Ye Log Mere Dukh Ki Dawa Karte The
Dekh Kar Jo Hamein Chup-Chap Guzar Jata Hai
Kabhi Us ShaKHs Ko Hum Pyar Kiya Karte The
Ittifaqat-E-Zamana Bhi Ajab Hain Nasir
Aaj Wo Dekh Rahe Hain Jo Suna Karte The
کیا زمانہ تھا کہ ہم روز ملا کرتے تھے
رات بھر چاند کے ہم راہ پھرا کرتے تھے
جہاں تنہائیاں سر پھوڑ کے سو جاتی ہیں
ان مکانوں میں عجب لوگ رہا کرتے تھے
کر دیا آج زمانے نے انہیں بھی مجبور
کبھی یہ لوگ مرے دکھ کی دوا کرتے تھے
دیکھ کر جو ہمیں چپ چاپ گزر جاتا ہے
کبھی اس شخص کو ہم پیار کیا کرتے تھے
اتفاقات زمانہ بھی عجب ہیں ناصر
آج وہ دیکھ رہے ہیں جو سنا کرتے تھے
Read More:
Gaye Dinon Ka Suragh Le Kar – Nasir Kazmi Poetry
Dayar-E-Dil Ki Raat Mein Charagh Sa Jala Gaya (Lyrics)
Dil Dharakne Ka Sabab Yaad Aaya (Lyrics)
Naye Kapde Badal Kar Jaun Kahan (Lyrics)