Islamic LyricsNaat LyricsQateel Shifai

Lab Sil Gaye Qateel Bas Ik Iltijaa Ke Baad – Qateel Shifai

Lab Sil Gaye Qateel Bas Ik Iltijaa Ke Baad – Qateel Shifai

 

Lab Sil Gaye Qateel Bas Ik Iltijaa Ke Baad
Main Chahta Hoon Kis Ko Shah-e-Anbiyaa ﷺ Ke Baad

Laaya Hoon Un ﷺ Ke Dar Se Main Bhar Bhar Ke Jhooliyan
Aasoodah Nazar Hoon Main Un ﷺ Ki ‘Ataa Ke Baad

Qalb-o-Nazar Mera Deen The Sehat Mili Mujhe
Us Shehr-e-Be-Misaal Ki Aab-o-Hawa Ke Baad

Kal Kainaat Ke Liye Jab Woh Huye Tulu‘
Sab Chaand Maand Par Gaye Un ﷺ Ki Ziyaa Ke Baad

Baqi Tha Marhala Abhi Takmeel-e-Deen Ka
Aaye Huzoor ﷺ Is Liye Sab Anbiyaa Ke Baad

Dil To Kuch Aur Kehta Hai Lekin Main Kya Karun
Sajda Rawa Nahin Hai Kisi Ko Khuda Ke Baad

Duniya Mein Ehteraam Ke Qaabil Hain Jitne Log
Main Sab Ko Maanta Hoon Magar Mustafa ﷺ Ke Baad

لب سِل گئے قتیل بس اک التجا کے بعد
میں چاہتا ہوں کس کو شہِ انبیاءﷺ کے بعد
لایا ہوں اُنؐ کے در سے میں بھر بھر کے جھولیاں
آسودہ نظر ہوں میں اُنﷺ کی عطا کے بعد
قلب و نظر مِرا دین تھے صحت ملی مجھے
اُس شہرِ بے مثال کی آب و ہوا کے بعد
کل کائنات کے لیے جب وہ ہوئے طلوع
سب چاند ماند پڑ گئے اُنؐ کی ضیاء کے بعد
باقی تھا مرحلہ ابھی تکمیلِ دین کا
آئے حضور اس لیے سب انبیاء کے بعد
دل تو کچھ اور کہتا ہے لیکن میں کیا کروں
سجدا روا نہیں ہے کسی کو خدا کے بعد
دنیا میں احترام کے قابل ہیں جتنے لوگ
میں سب کو مانتا ہوں مگر مصطفیٰؐ کے بعد

قتیل شفائی

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *