
Main Banda-e-Aasi Hoon (Lyrics)
Main Banda-e-Aasi Hoon Khata Kaar Hoon Maula
Lekin Teri Rehmat Ka Talabgaar Hoon Maula
Wabasta Hai Umeed Meri Tere Karam Se
Tera Hoon, Faqat Tera Parastaar Hoon Maula
Ek Soot Ki Anti Mere Saanson Ka Asasa
Aur Yusuf-e-Hasti Ka Khareedaar Hoon Maula
Baahar Ke Ujale Mujhe Kya Raah Sajaayein
Andar Ke Andheron Mein Giriftar Hoon Maula
Tareekh Bhi Meri Nahi Pehchaanti Mujh Ko
Kaisa Main Ye Jughrafiya Bardaar Hoon Maula
Jin Se Main Guzar Jaoon Woh Dar Khol De Mujh Mein
Khud Apne Hi Raste Ki Main Deewar Hoon Maula
Ye Nuqta-e-Aswad Bhi Mere Dil Se Mita De
Seene Mein Chhupe Chor Se Bezaar Hoon Maula
Phir Tu Mere Imaan Ko Tawanai Ata Kar
Barson Nahi, Sadiyon Se Main Beemaar Hoon Maula
Pasti Se Ubharne Ki Agar Shart Hai Sooli
Sooli Pe Bhi Chadhne Ko Main Tayaar Hoon Maula
Itna Hi Dubo De Mujhe Daryaa-e-Amal Mein
Jitna Bhi Main Ab Tishna-e-Kirdaar Hoon Maula
Ek Tera Ishaara Ho Aur Aasaan Ho Mushkil
Ek Lehar Uthe Aur Main Us Paar Hoon Maula
Main Banda-e-Aasi Hoon
(Lyrics in Urdu Text)
میں بندۂ عاصی ہوں خطا کار ہوں مولا
لیکن تری رحمت کا طلبگار ہوں مولا
وابستہ ہے امید مری تیرے کرم سے
تیرا ہوں فقط تیرا پرستار ہوں مولا
اک سوت کی انٹی مرے سانسوں کا اثاثہ
اور یوسفِ ہستی کا خریدار ہوں مولا
باہر کے اجالے مجھے کیا راہ سجھائیں
اندر کے اندھیروں میں گرفتار ہوں مولا
تاریخ بھی میری نہیں پہچانتی مجھ کو
کیسا میں یہ جغرافیہ بردار ہوں مولا
جن سے میں گزر جاؤں وہ در کھول دے مجھ میں
خود اپنے ہی رستے کی میں دیوار ہوں مولا
یہ نقطۂ اسود بھی مرے دل سے مٹا دے
سینے میں چھپے چور سے بیزار ہوں مولا
پھر تو مرے ایمان کو توانائی عطا کر
برسوں نہیں صدیوں سے میں بیمار ہوں مولا
پستی سے ابھرنے کی اگر شرط ہے سولی
سولی پہ بھی چڑھنے کو میں تیار ہوں مولا
اتنا ہی ڈبو دے مجھے دریائے عمل میں
جتنا بھی میں اب تشنہ کردار ہوں مولا
اک تیرا اشارہ ہو اور آسان ہو مشکل
اک لہر اٹھے اور میں اس پار ہوں مولا
Mujhe Khudaya Maaf Kar De – Lyrics
Jagah Ji Lagane Ki Duniya Nahi Hai – Lyrics