Mohsin Naqvi

Main Jo Mehka To Meri Shaakh Jala Di Us Ne – Mohsin Naqvi

Main Jo Mehka To Meri Shaakh Jala Di Us Ne
Sabz Mausam Mein Mujhe Zard Hawa Di Us Ne

Pehle Ek Lamhe Ki Zanjeer Se Baandha Mujh Ko
Aur Phir Waqt Ki Raftaar Badha Di Us Ne

Meri Naakaam Mohabbat Mujhe Waapas Kar Di
Yoon Mere Haath Meri Laash Thama Di Us Ne

Jaanta Tha Ke Mujhe Maut Sukoon Bakhshay Gi
Woh Sitamgar Tha, So Jeene Ki Dua Di Us Ne

Us Ke Hone Se Thi Saansen Meri Dugni Mohsin
Woh Jo Bichhda To Meri Umar Ghata Di Us Ne

میں جو مہکا تو میری شاخ جلا دی اس نے
سبز موسم میں مجھے زرد ہوا دی اس نے

پہلے ایک لمحے کی زنجیر سے باندھا مجھ کو
اور پھر وقت کی رفتار بڑھا دی اس نے

میری ناکام محبت مجھے واپس کر دی
یوں مرے ہاتھ، میری لاش تھما دی اس نے

جانتا تھا کے مجھے موت سکون بخشے گی
وہ ستمگر تھا سو جینے کی دعا دی اس نے

اس کے ہونے سے تھی سانسیں میری دگنی محسن
وہ جو بچھڑا تو میری عمر گھٹا دی اس نے

 

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *