
Main Jo Shayar Kabhi Hota Tera Sehra Kehta
Chaand Ko Chaand Na Kehta! Tera Chehra Kehta
Kya Karein Tum Se Ulfat Ho Gayi
Bekhabar Dil Se Ghaflat Ho Gayi
Dil Chura Kar Muskurana Bewafa
Har Ghadi Ki Teri Aadat Ho Gayi
Ek Tujh Se Pyaar Kar Ke Ae Sanam
Sab Zamane Se Adaawat Ho Gayi
Apni Barbadi Ka Mujh Ko Nahin Gham
Main To Khush Hoon Teri Shohrat Ho Gayi
Ghair Ki Mehfil Mein Tujh Ko Dekh Kar
Ae Mere Dilbar Yeh Qayamat Ho Gayi
Chaand Ko Chaand Na Kehta! Tera Chehra Kehta
Tujh Ko Le Udta Hua Ban Ke Main Khushbu Ki Tarah
Umar Bhar Rakhta Zamane Ki Nazron Se
Dil Bhi Gar Poochta Tera
Main Na Na Kehta! Tera
Khush Naseebi Se Mujhe Apni Hi Lagta Hai Ye Dar
Meri Khushbu Ko Na Das Le Kisi Dushman Ki Nazar
Chashm-e-Baddoor Na Kehta To Kya Kehta
Tere Qadmon Mein Fida Apni Jaan Kar Deta
Aakhri Farz Ko Ada Kar Deta
Chaand Ko Chaand Na Kehta! Tera Chehra Kehta
Main Jo Shayar Kabhi Hota Tera Sehra Kehta
(Lyrics in Urdu Text)
میں جو شاعر کبھی ہوتا تیرا سہرا کہتا
چاند کو چاند نہ کہتا ! تیرا چہرا کہتا
کیا کریں تم سے الفت ہو گئی
بے خبر دل سے غفلت ہو گئی
دل چرا کر مسکرانا بے وفا
ہر گھڑی کی تیری عادت ہو گئی
ایک تجھ سے پیار کر کہ اے صنم
سب زمانے سے عداوت ہو گئی
اپنی بربادی کا مجھ کو نہیں غم
میں تو خوش ہوں تیری شہرت ہو گئی
غیر کی محفل میں تجھ کو دیکھ کر
اے میرے دلبر یہ قیامت ہو گئی
چاند کو چاند نہ کہتا تیرا چہرا کہتا
تجھ کو کے لے اڑتا ہوا بن کہ میں خوشبو کی طرح
عمر بھر رکھتا زمانے کہ نظروں سے
دل بھی گر پوچھتا تیرا
میں نہ نہ کہتا تیرا
خوش نصیبی سے مجھے اپنی ہی لگتا ہے یہ ڈر
میری خوشبو کو نہ ڈس لے کسی دشمن کی نظر
چشم بددور نہ کہتا تو کیا کہتا ۔
تیرے قدموں میں فدا اپنی جاں کر دیتا
آخری فرض کو ادا کر دیتا
چاند کو چاند نہ کہتا تیرا چہرا کہتا