Lyrics

Main Khayal Hun Kisi Aur Ka Mujhe Sochta Koi Aur Hai (Lyrics)

Main Khayal Hun Kisi Aur Ka Mujhe Sochta Koi Aur Hai

Main Khayal Hun Kisi Aur Ka Mujhe Sochta Koi Aur Hai
Sar-E-Aina Mera Aks Hai Pas-E-Aina Koi Aur Hai

Main Kisi Ke Dast-E-Talab Mein Hun To Kisi Ke Harf-E-Dua Mein Hun
Main Nasib Hun Kisi Aur Ka Mujhe Mangta Koi Aur Hai

Ajab E’tibar O Be-E’tibari Ke Darmiyan Hai Zindagi
Main Qarib Hun Kisi Aur Ke Mujhe Jaanta Koi Aur Hai

Meri Raushni Tere KHadd-O-KHal Se MuKHtalif To Nahin Magar
Tu Qarib Aa Tujhe Dekh Lun Tu Wahi Hai Ya Koi Aur Hai

Tujhe Dushmanon Ki KHabar Na Thi Mujhe Doston Ka Pata Nahin
Teri Dastan Koi Aur Thi Mera Waqia Koi Aur Hai

Wahi Munsifon Ki Riwayaten Wahi Faislon Ki Ibaraten
Mera Jurm To Koi Aur Tha Pa Meri Saza Koi Aur Hai

Kabhi LauT Aaen To Puchhna Nahin Dekhna Unhen Ghaur Se
Jinhen Raste Mein KHabar Hui Ki Ye Rasta Koi Aur Hai

Jo Meri Riyazat-E-Nim-Shab Ko ‘Salim’ Subh Na Mil Saki
To Phir Is Ke Mani To Ye Hue Ki Yahan KHuda Koi Aur Hai

 

میں خیال ہوں کسی اور کا مجھے سوچتا کوئی اور ہے
سر آئینہ مرا عکس ہے پس آئینہ کوئی اور ہے

میں کسی کے دست طلب میں ہوں تو کسی کے حرف دعا میں ہوں
میں نصیب ہوں کسی اور کا مجھے مانگتا کوئی اور ہے

عجب اعتبار و بے اعتباری کے درمیان ہے زندگی
میں قریب ہوں کسی اور کے مجھے جانتا کوئی اور ہے

مری روشنی ترے خد و خال سے مختلف تو نہیں مگر
تو قریب آ تجھے دیکھ لوں تو وہی ہے یا کوئی اور ہے

تجھے دشمنوں کی خبر نہ تھی مجھے دوستوں کا پتا نہیں
تری داستاں کوئی اور تھی مرا واقعہ کوئی اور ہے

وہی منصفوں کی روایتیں وہی فیصلوں کی عبارتیں
مرا جرم تو کوئی اور تھا پہ مری سزا کوئی اور ہے

کبھی لوٹ آئیں تو پوچھنا نہیں دیکھنا انہیں غور سے
جنہیں راستے میں خبر ہوئی کہ یہ راستہ کوئی اور ہے

جو مری ریاضت نیم شب کو سلیمؔ صبح نہ مل سکی
تو پھر اس کے معنی تو یہ ہوئے کہ یہاں خدا کوئی اور ہے

 

Un Ki Taraf Se Tark-E-Mulaqat Ho Gai (Lyrics) – NFAK
Mujh Se Pahli Si Mohabbat Meri Mehboob Na Mang (Lyrics)
Mohabbat Karne Wale Kam Na Honge (Lyrics) – Mehdi Hassan

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *