
Maqrooz Ke Bigray Huye Haalaat Ki Manind
Mohsin Naqvi Poetry
Maqrooz Ke Bigray Huye Haalaat Ki Manind
Majboor Ke Honton Pe Sawaalaat Ki Manind
Dil Ka Teri Chahat Mein Ajab Haal Hua Hai
Sailaab Se Barbaad Makaanat Ki Manind
Main Un Mein Bhatke Huye Jugnu Ki Tarah Hoon
Us Shakhs Ki Aankhein Hain Kisi Raat Ki Manind
Dil Roz Sajata Hoon Main Dulhan Ki Tarah Se
Gham Roz Chale Aate Hain Baraat Ki Manind
Ab Yeh Bhi Nahin Yaad Ke Kya Naam Tha Uska
Jis Shakhs Ko Maanga Tha Manaajaat Ki Manind
Kis Darja Muqaddas Hai Tere Qurb Ki Khwahish
Masoom Se Bachay Ke Khayalaat Ki Manind
Us Shakhs Se Milna Mohsin Mera Mumkin Hi Nahin Hai
Main Pyaas Ka Sehra Hoon Woh Barsaat Ki Manind
مقروض کہ بگڑے ہوئے حالات کی مانند
مجبور کہ ہونٹوں پہ سوالات کی مانند
دل کا تیری چاہت میں عجب حال ہوا ہے
سیلاب سے برباد مکانات کی مانند
میں ان میں بھٹکے ہوئے جگنو کی طرح ہوں
اس شخص کی آنکھیں ہیں کسی رات کی مانند
دل روز سجاتا ہوں میں دلہن کی طرح سے
غم روز چلے آتے ہیں بارات کی مانند
اب یہ بھی نہیں یاد کہ کیا نام تھا اس کا
جس شخص کو مانگا تھا مناجات کی مانند
کس درجہ مقدس ہے تیرے قرب کی خواہش
معصوم سے بچے کے خیالات کی مانند
اس شخص سے ملنا محسن میرا ممکن ہی نہیں ہے
میں پیاس کا صحرا ہوں وہ برسات کی مانند
محسن نقوی