
Masjid-e-Quwwat-Ul-Islam
Allama Iqbal Poetry | Zarb-e-Kaleem
Hai Mere Seena Be-Noor Nein Ab Kya Baqi
‘La Ilaha’ Murda-o-Afsurda-o-Be-Zauq-e-Namood
ہے مرے سينہ بے نور ميں اب کيا باقي
‘لاالہ’ مردہ و افسردہ و بے ذوق نمود
Chashme-e-Fitrat Bhi Na Pehchan Sake Gi Mujh Ko
Ke Ayazi Se Digargoon Hai Maqam-e-Mehmood
چشم فطرت بھي نہ پہچان سکے گي مجھ کو
کہ ايازي سے دگرگوں ہے مقام محمود
Kyun Musalman Na Khajal Ho Teri Sangeeni Se
Ke Ghulami Se Huwa Misl-e-Zujaj Iss Ka Wujood
کيوں مسلماں نہ خجل ہو تري سنگيني سے
کہ غلامي سے ہوا مثل زجاج اس کا وجود
Hai Teri Shan Ke Shayan Ussi Momin Ki Namaz
Jis Ki Takbeer Mein Ho Maarka-e-Bood-o-Nubood
ہے تري شان کے شاياں اسي مومن کي نماز
جس کي تکبير ميں ہو معرکہ بود و نبود
Ab Kahan Mere Nafs Mein Woh Hararat, Woh Gudaz
Be Tab-o-Taab-e-Duroon Meri Salat Aur Durood
اب کہاں ميرے نفس ميں وہ حرارت ، وہ گداز
بے تب و تاب دروں ميري صلوہ اور درود
Hai Meri Bang-e-Azan Mein Na Bulandi, Na Shikwa
Kya Gawara Hai Tujhe Aese Musalman Ka Sujood?
ہے مري بانگ اذاں ميں نہ بلندي ، نہ شکوہ
کيا گوارا ہے تجھے ايسے مسلماں کا سجود؟
Read More:
Garam Ho Jata Hai Jab Mehkoom Qoumon Ka Lahoo – Iqbal Poetry
Ilm Aur Deen – Woh Ilm Apne Boton Ka Hai Aap Ibraheem
Madniyat-e-Islam – Bataun Tujh Ko Musalman Ki Zindagi Kya Hai
Nigah-e-Shauq – Allama Iqbal Poetry | Zarb-e-Kaleem