Parveen Shakir

Mata-e-Qalb-o-Jigar Hain, Humein Kahin Se Milen – Parveen Shakir

Mata-e-Qalb-o-Jigar Hain, Humein Kahin Se Milen

Parveen Shakir

 

Mata-e-Qalb-o-Jigar Hain, Humein Kahin Se Milen
Magar Woh Zakhm Jo Us Dast-e-Shabnamain Se Milen

Na Shaam Hai, Na Ghani Raat Hai, Na Pichhla Pehar
Ajeeb Rang Teri Chashm-e-Surmageen Se Milen

Main Is Wisaal Ke Lamhe Ka Naam Kya Rakhun
Tere Libaas Ki Shikenin Teri Jabeen Se Milen

Sitaish Mere Ahbaab Ki Nawazish Hain
Magar Sile To Mujhe Apne Nukta Cheen Se Milen

Tamaam Umar Ki Na-Mu’tabar Rafiqat Se
Kahin Bhala Ho Ke Pal Bhar Milen, Yaqeen Se Milen

Yahi Raha Hai Muqaddar, Mere Kisanon Ka
Ke Chaand Boyein Aur Un Ko Gahan Zameen Se Milen

Parveen Shakir Poetry in Urdu

 

متاعِ قلب و جگر ہیں ،ہمیں کہیں سے ملیں
مگر وہ زخم جو اُس دستِ شبنمیں سے ملیں
نہ شام ہے ، نہ گھنی رات ہے ، نہ پچھلا پہر
عجیب رنگ تری چشمِ سُرمگیں سے ملیں
میں اِس وصال کے لمحے کا نام کیا رکھوں
ترے لباس کی شِکنیں تری جبیں سے ملیں
ستائش مرے احباب کی نوازش ہیں
مگر صلے تو مجھے اپنے نکتہ چیں سے ملیں
تمام عُمر کی نامعتبر رفاقت سے
کہیں بھلا ہو کہ پَل بھر ملیں ،یقیں سے ملیں
یہی رہا ہے مقدر، مرے کسانوں کا
کہ چاند بوئیں اور ان کو گہن زمیں سے ملیں

 

Ghairon Pe Karam, Apnon Pe Sitam 
Agar Hum Kahen Aur Woh Muskura Dein 
Ab To Ghabra Ke Yeh Kehte Hain Ke Mar Jayenge

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *