
Mehfil Aara The Magar Phir Kam Numa Hotay Gaye
Munir Niazi Poetry
Mehfil Aara The Magar Phir Kam Numa Hotay Gaye
Dekhte Hi Dekhte Hum Kya Se Kya Hotay Gaye
Na Shanasi Dehr Ki Tanha Humein Karti Gayi
Hotay Hotay Hum Zamane Se Juda Hotay Gaye
Muntazir Jaise The Dar Shehr-e-Firaq Asaar Ke
Ek Zara Dastak Hui Dar Dam Mein Wa Hotay Gaye
Harf Parda Posh The Izhar-e-Dil Ke Baab Mein
Harf Jitne Shehr Mein The Harf La Hotay Gaye
Waqt Kis Tezi Se Guzra Rozmarrah Mein Muneer
Aaj Kal Hota Gaya Aur Din Hua Hotay Gaye
محفل آرا تھے مگر پھر کم نما ہوتے گئے
دیکھتے ہی دیکھتے ہم کیا سے کیا ہوتے گئے
نا شناسی دہر کی تنہا ہمیں کرتی گئی
ہوتے ہوتے ہم زمانے سے جدا ہوتے گئے
منتظر جیسے تھے در شہر فراق آثار کے
اک ذرا دستک ہوئی در دم میں وا ہوتے گئے
حرف پردہ پوش تھے اظہار دل کے باب میں
حرف جتنے شہر میں تھے حرف لا ہوتے گئے
وقت کس تیزی سے گزرا روزمرہ میں منیرؔ
آج کل ہوتا گیا اور دن ہوا ہوتے گئے
– منیر نیازی