
Mehfilain Lut Gain Jazbaat Ne Dam Tor Diya
Saghar Siddiqi Ghazal in Urdu
Mehfilain Lut Gain Jazbaat Ne Dam Tor Diya
Saaz Khamosh Hain Naghmaat Ne Dam Tor Diya
Har Musarrat Gham-E-Deeroz Ka Unwaan Bani
Waqt Ki God Mein Lamhaat Ne Dam Tor Diya
In Ginat Mahfilain Mehroom-E-Chiraghan Hain Abhi
Kaun Kehta Hai Ke Zulmaat Ne Dam Tor Diya
Aaj Phir Bujh Gaye Jal Jal Ke Umeedon Ke Chiragh
Aaj Phir Taron Bhari Raat Ne Dam Tor Diya
Jin Se Afsana-E-Hasti Mein Tasalsul Tha Kabhi
Un Mohabbat Ki Riwayaat Ne Dam Tor Diya
Jhalmalate Hue Ashkon Ki Ladi Toot Gayi
Jagmagati Hui Barsaat Ne Dam Tor Diya
Haye Aadaab-E-Mohabbat Ke Taqaze Saagar
Lab Hile Aur Shikayaat Ne Dam Tor Diya
محفلیں لٹ گئیں جذبات نے دم توڑ دیا
ساز خاموش ہیں نغمات نے دم توڑ دیا
ہر مسرت غم دیروز کا عنوان بنی
وقت کی گود میں لمحات نے دم توڑ دیا
ان گنت محفلیں محروم چراغاں ہیں ابھی
کون کہتا ہے کہ ظلمات نے دم توڑ دیا
آج پھر بجھ گئے جل جل کے امیدوں کے چراغ
آج پھر تاروں بھری رات نے دم توڑ دیا
جن سے افسانۂ ہستی میں تسلسل تھا کبھی
ان محبت کی روایات نے دم توڑ دیا
جھلملاتے ہوئے اشکوں کی لڑی ٹوٹ گئی
جگمگاتی ہوئی برسات نے دم توڑ دیا
ہائے آداب محبت کے تقاضے ساغرؔ
لب ہلے اور شکایات نے دم توڑ دیا
Woh Aadat Hai To Aadat Se Kinaare Ho Bhi Sakta Hai
Kon Kehta Hai Ke Maut Aayi To Mar Jaoonga
Adab Ki Had Mein Hoon Main Be-Adab Nahin Hota