
Mile Bina Hi Bichharne Ke Dar Se Laut Aaye
Sad Poetry
Poet: Kuldeep Kumar
Mile Bina Hi Bichharne Ke Dar Se Laut Aaye
Ajeeb Khauf Mein Hum Us Ke Dar Se Laut Aaye
Na Aise Roiye Naakaami-e-Mohabbat Par
Khushi Manaiye Zinda Bhanwar Se Laut Aaye
Yeh Sochte Hue Baithe Hain Raah Mein Ruk Kar
Udhar Gaye Hi Nahin The Jidhar Se Laut Aaye
Lab Us Ke Samne The Aur Hum Ne Chuma Nahin
Samajh Lo Paaon Uthe Aur Dar Se Laut Aaye
Abhi To Waqt Hai Suraj Ke Doobne Mein To Phir
Yeh Kya Hua Ke Parinde Safar Se Laut Aaye
Kisi Bhi Tarah Yeh Duniya Na Chhod Paaye Hum
Ke Jab Bhi Nikle Teri Rahguzar Se Laut Aaye
Phir Us Ne Dekha Koi Taara Tootte Ek Raat
Phir Ek Roz Musafir Safar Se Laut Aaye
Lagen Gi Aur Bhi Tarkeeb Us Ko Lane Mein
Koi Zaroori Hai Samjhaane Bhar Se Laut Aaye
Yeh Kis Ki Dhun Thi Jo Deewaar-O-Dar Na Pehchaana
Yeh Kis Khayaal Mein Apne Hi Ghar Se Laut Aaye
Mere Guzarne Ki Afwaah Hi Ura De Koi
Kise Khabar Ke Woh Jhooti Khabar Se Laut Aaye
ملے بنا ہی بچھڑنے کے ڈر سے لوٹ آئے
عجیب خوف میں ہم اس کے در سے لوٹ آئے
نہ ایسے روئیے ناکامیٔ محبت پر
خوشی منائیے زندہ بھنور سے لوٹ آئے
یہ سوچتے ہوئے بیٹھے ہیں راہ میں رک کر
ادھر گئے ہی نہیں تھے جدھر سے لوٹ آئے
لب اس کے سامنے تھے اور ہم نے چوما نہیں
سمجھ لو پاؤں اٹھے اور در سے لوٹ آئے
ابھی تو وقت ہے سورج کے ڈوبنے میں تو پھر
یہ کیا ہوا کہ پرندے سفر سے لوٹ آئے
کسی بھی طرح یہ دنیا نہ چھوڑ پائے ہم
کہ جب بھی نکلے تری رہ گزر سے لوٹ آئے
پھر اس نے دیکھا کوئی تارا ٹوٹتے اک رات
پھر ایک روز مسافر سفر سے لوٹ آئے
لگیں گی اور بھی ترکیب اس کو لانے میں
کوئی ضروری ہے سمجھانے بھر سے لوٹ آئے
یہ کس کی دھن تھی جو دیوار و در نہ پہچانا
یہ کس خیال میں اپنے ہی گھر سے لوٹ آئے
مرے گزرنے کی افواہ ہی اڑا دے کوئی
کسے خبر کہ وہ جھوٹی خبر سے لوٹ آئے
Ae Husn-e-Lala Faam! Zara Aankh To Mila – Saghar Siddiqi
Kabhi Ruk Gaye Kabhi Chal Diye – Urdu Poetry
Zikr-E-Shab-E-Firaaq Se Wahshat Use Bhi Thi – Mohsin Naqvi