Urdu Poetry (Misc)

Mohabbat Ke Safar Mein Koi Bhi Rasta Nahi Deta – Urdu Poetry

Mohabbat Ke Safar Mein Koi Bhi Rasta Nahi Deta

Poet: Zahid Fakhri

 

Mohabbat Ke Safar Mein Koi Bhi Rasta Nahi Deta
Zameen Waqif Nahi Banti Falak Saya Nahi Deta

محبت کے سفر میں کوئی رستہ نہیں دیتا
زمین واقف نہیں بنتی، فلک سایہ نہیں دیتا

Khushi Aur Dukh Ke Mausam Sab Ke Apne Apne Hote Hain
Kisi Ko Apne Hisse Ka Koi Lamha Nahi Deta

خوشی اور دکھ کے موسم سب اپنے اپنے ہوتے ہیں
کسی کو اپنے حصے  کا کوئی لمحہ نہیں دیتا

Na Jaane Kaun Hote Hain Jo Baazu Thaam Lete Hain
Museebat Mein Sahara Koi Bhi Apna Nahi Deta

نہ جانے کون ہوتے ہیں جو بازو تھام لیتے ہیں
مصیبت میں سہارا کوئی بھی اپنا نہیں دیتا

Udasi Jis Ke Dil Mein Ho Usi Ki Neend Udti Hai
Kisi Ko Apni Aankhon Se Koi Sapna Nahi Deta

اداسی جس کے دل میں ہو اسی کی نیند اڑتی ہے
کسی کو اپنی آنکھوں سے کوئی سپنا نہیں دیتا

Uthana Khud Hi Padta Hai Thaka Toota Badan Fakhri
Ke Jab Tak Saans Chalti Hai Koi Kandha Nahi Deta

اٹھانا خود ہی پڑتا ہے، تھکا ٹوٹا بدن اپنا
کے جب تک سانس چلتی ہے کوئی کاندھا نہیں دیتا

Tujhe Zindagi Ka Shaoor Tha, Tera Kia Bana? – Urdu Poetry
Mile Bina Hi Bichharne Ke Dar Se Laut Aaye – Sad Poetry
Kehne Ko Mera Us Se Koi Wasta Nahi – Amjad Islam Amjad

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *