
Muhabbaton Mein Dikhawe Ki Dosti Na Mila
Bashir Badr Poetry
muhabbaton mein dikhawe ki dosti na mila
agar gale nahi milta to hath bhi na mila
gharon pe naam the namon ke sath ohde the
bahut talash kiya koi aadmi na mila
tamam rishton ko main ghar pe chord aaya tha
phir us ke baad mujhe koi ajnabi na mila
Khuda ki itni badi kaenat mein main ne
bas ek shakhs ko manga mujhe wahi na mila
bahut ajeeb hai ye qurbaton ki doori bhi
wo mere sath raha aur mujhe kabhi na mila
Read More:
محبتوں میں دکھاوے کی دوستی نہ ملا
اگر گلے نہیں ملتا تو ہاتھ بھی نہ ملا
گھروں پہ نام تھے ناموں کے ساتھ عہدے تھے
بہت تلاش کیا کوئی آدمی نہ مل
تمام رشتوں کو میں گھر پہ چھوڑ آیا تھا
پھر اس کے بعد مجھے کوئی اجنبی نہ ملا
خدا کی اتنی بڑی کائنات میں میں نے
بس ایک شخص کو مانگا مجھے وہی نہ ملا
بہت عجیب ہے یہ قربتوں کی دوری بھی
وہ میرے ساتھ رہا اور مجھے کبھی نہ ملا